Maa Anjani Bhajan

Maa Anjani Bhajan

00:0000:00
Maa Anjani ke Laal, Kalyug kar diyo nihaal, O Pawanputra Hanuman, Tum Shri Ram ke sevak ho, Shri Ram ke sevak ho। Shiv Shankar ke avataar, Mere Balaji Sarkaar, O Pawanputra Hanuman, Tum Shri Ram ke sevak ho॥ Tu Maa Anjani ka jaaya, Shiv avataari kehlaaya, Paakar ke adbhut shakti, Sansar mein maan badhaaya, Teri surat kuch kapi si, Teri surat kuch kapi si, Kuch maanav si suhaaye, Man mein Ram samaaye, Aur tan sindoor ramaaye, Teri chhaati vajra samaan, Tum Shri Ram ke sevak ho, Shri Ram ke sevak ho॥ Jab haran hua Sita ka, Kuch pata nahi lag paaya, Tune jaake Lanka nagri, Maiya ka pata lagaaya, Tune raakshas sab pachhaade, Tune raakshas sab pachhaade, Garje aur phir dahaade, Gin gin kar diye giraaye, Sankat kaate palbhar mein, Jaakar Ravan ke ghar mein, Sab Lanka diye jalaaye, Tum Shri Ram ke sevak ho, Shri Ram ke sevak ho॥ Sab rog dosh mit jaave, Jo Hanuman ko dhyaave, Chahe kaisa bhi ho sankat, Shri Hanumat door bhagaave, Jhootha hai jag ye saara, Jhootha hai jag ye saara, Matlab ka bhaichaara, Ye moh maya janjaal, Tu Ram bhakt ko dhyaale, Sang apni preet lagaale, Sankatmochan kehlaaye, Tum Shri Ram ke sevak ho, Shri Ram ke sevak ho॥ Maa Anjani ke Laal, Kalyug kar diyo nihaal, O Pawanputra Hanuman, Tum Shri Ram ke sevak ho, Shri Ram ke sevak ho। Shiv Shankar ke avataar, Mere Balaji Sarkaar, O Pawanputra Hanuman, Tum Shri Ram ke sevak ho॥
About Anjani Mata Ji
Category:
Devi
Gender:
Female
Day:
Tuesday
Tithi:
Purnima
Favorite food:
Fruits
Favorite color:
Red

Popular Anjani Mata Ji Temples

Anjani Mata Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday

Related Aarti

No related aartis found.