Shri Balram Bhajan

Shri Balram Bhajan

00:0000:00
Sune ri maine nirbal ke bal Ram,
Pichhali saakh bharun santan ki, ade sanware kaam

Jab lag gaj bal apno baratyo, nek saryo nahin kaam,
Nirbal hwe bal Ram pukaryo, aaye aadhe naam
Sune ri maine nirbal ke bal Ram

Drupad suta nirbal bhai taa din, taji aaye nij dhaam,
Dussasan ki bhuja thakit bhai, vasan roop bhaye Ram
Sune ri maine nirbal ke bal Ram

Ap bal, tap bal aur bahu bal, chautha hai bal Ram,
Soor Kishor kripa se sab bal haare ko Harinaam
Sune ri maine nirbal ke bal Ram

Popular Temples

God's Devotional Content
No devotional content found for this god.
Next Day's Bhajan — Friday

Related Bhajan

No related aartis found.