Shri Vamana Bhajan
00:0000:00
Aaye Hari Vaman ka roop banaye,
Bali Raja ko chhalne aaye
Bali Raja ko chhalne aaye...
Mathe tilak sohe, sir pe chhatra sohe,
Hathon mein kamandal wo laaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Tan pe janeu dhare, sir pe choti sohe,
Charanon mein khadave suhaaye,
Bali Raja ko chhalne aaye...
Chhote-chhote haath, chhote-chhote paanv,
Chhoti-chhoti dhoti pehan ke aaye.
Sir pe mukut sohe, gal mein mala,
Bali Raja ke dware aaye.
Aaye Hari Vaman ka roop banaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Haath mein chhata, bagal mein lota,
Daan maangne ko Hari aaye.
Teen pag bhoomi Raja se maangi,
Charanon mein sheesh jhukaye.
Aaye Hari Vaman ka roop banaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Ek pag mein dharti maapi,
Dooje mein ambar, teeja pag kahaan rakhe samjhaye.
Bali Raja ne sheesh navaya,
Prabhu ne unhein gale se lagaye.
Aaye Hari Vaman ka roop banaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Bali Raja ko chhalne aaye
Bali Raja ko chhalne aaye...
Mathe tilak sohe, sir pe chhatra sohe,
Hathon mein kamandal wo laaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Tan pe janeu dhare, sir pe choti sohe,
Charanon mein khadave suhaaye,
Bali Raja ko chhalne aaye...
Chhote-chhote haath, chhote-chhote paanv,
Chhoti-chhoti dhoti pehan ke aaye.
Sir pe mukut sohe, gal mein mala,
Bali Raja ke dware aaye.
Aaye Hari Vaman ka roop banaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Haath mein chhata, bagal mein lota,
Daan maangne ko Hari aaye.
Teen pag bhoomi Raja se maangi,
Charanon mein sheesh jhukaye.
Aaye Hari Vaman ka roop banaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Ek pag mein dharti maapi,
Dooje mein ambar, teeja pag kahaan rakhe samjhaye.
Bali Raja ne sheesh navaya,
Prabhu ne unhein gale se lagaye.
Aaye Hari Vaman ka roop banaye,
Bali Raja ko chhalne aaye.
Popular Vamana Temples
Vamana — Aarti, Chalisa, Mantra & more
No devotional content found for this god.
Next Day's Bhajan — Tuesday
Related Bhajan
Related Bhajan
No related aartis found.