
Shri Pitar Dev Chalisa
॥ Doha ॥
He Pitreshwar aapko, de diyo aashirvaad।
Charanaashish nava diyo, rakhdo sir par haath॥
Sabse pehle Ganpat, paachhe ghar ka dev manaava ji।
He Pitreshwar daya raakhiyo, kariyo man ki chaaya ji॥
॥ Chaupai ॥
Pitreshwar karo maarg ujaagar। Charan raj ki mukti saagar॥
Param upkaar Pittreshwar keenha। Manushya yoni mein janm deenha॥
Maatri-pitri dev manjo bhaave। Soi amit jeevan phal paave॥
Jai-jai-jai Pittar ji saai। Pitri rin bin mukti naahin॥
Chaaron or prataap tumhaara। Sankat mein tera hi sahaara॥
Naaraayan aadhaar srishti ka। Pittar ji ansh usi drishti ka॥
Pratham poojan Prabhu aagya sunaate। Bhaagya dwaar aap hi khulvaate॥
Jhunjhunu mein darbaar hai saaje। Sab devon sang aap viraaje॥
Prasann hoy manvaanchhit phal deenha। Kupit hoy buddhi har leenha॥
Pittar mahima sabse nyaari। Jiska gun gaave nar naari॥
Teen mand mein aap biraaje। Basu Rudra Aaditya mein saaje॥
Naath sakal sampada tumhaari। Main sevak samet sut naari॥
Chhappan bhog nahin hain bhaate। Shuddh jal se hi tript ho jaate॥
Tumhaare bhajan param hitkaari। Chhote bade sabhi adhikaari॥
Bhanu uday sang aap pujaavai। Paanch anjuli jal rijhaavai॥
Dhwaj pataaka mand pe hai saaje। Akhand jyoti mein aap viraaje॥
Sadiyon puraani jyoti tumhaari। Dhanya hui janm bhoomi humaari॥
Shaheed humaare yahaan pujaate। Maatri bhakti sandesh sunaate॥
Jagat Pittro siddhaant humaara। Dharm jaati ka nahin hai naara॥
Hindu, Muslim, Sikh, Isaai। Sab pooje Pittar bhai॥
Hindu vansh vriksh hai humaara। Jaan se zyaada humko pyaara॥
Ganga ye marupradesh ki। Pitri tarpan anivaarya parivesh ki॥
Bandhu chhodna inke charna। Inhin ki kripa se mile Prabhu sharna॥
Chaudah ko jaagran karvaate। Amaavas ko hum dhok lagaate॥
Jaat jadooola sabhi manaate। Naandimukh Shraddh sabhi karvaate॥
Dhanya janm bhoomi ka vo phool hai। Jise Pitri mandal ki mili dhool hai॥
Shri Pittar ji bhakt hitkaari। Sun leeje Prabhu arj humaari॥
Nishdin dhyaan dhare jo koi। Ta sam bhakt aur nahin koi॥
Tum anaath ke naath sahaai। Deenan ke ho tum sada sahaai॥
Chaarik Ved Prabhu ke saakhi। Tum bhaktan ki lajja raakhi॥
Naam tumhaaro let jo koi। Ta sam dhanya aur nahin koi॥
Jo tumhaare nit paanv palotat। Navon siddhi charna mein lotat॥
Siddhi tumhaari sab mangalkaari। Jo tum pe jaave balihari॥
Jo tumhaare charna chitt laave। Taaki mukti avasi ho jaave॥
Satya bhajan tumhaaro jo gaave। So nishchay chaaron phal paave॥
Tumhin dev kuldev humaare। Tumhin Gurudev praan se pyaare॥
Satya aas man mein jo hoi। Manvaanchhit phal paaven soi॥
Tumhri mahima buddhi badaai। Shesh sahasra mukh sake na gaai॥
Main atideen maleen dukhaari। Karahu kaun vidhi vinay tumhaari॥
Ab Pittar ji daya deen par keejai। Apni bhakti shakti kachhu deejai॥
॥ Doha ॥
Pittaraun ko sthaan do, teerath aur swayam graam।
Shraddha suman chadhen wahaan, pooran ho sab kaam॥
Jhunjhunu dhaam viraaje hain, Pittar humaare mahaan।
Darshan se jeevan safal ho, pooje sakal jahaan॥
Jeevan safal jo chaahiye, chale Jhunjhunu dhaam।
Pittar charan ki dhool le, ho jeevan safal mahaan॥