Chandra Dev Chalisa

Chandra Dev Chalisa

00:0000:00
॥ Doha ॥
Veetaraag Sarvagya Jin,
Jinvani Ko Dhyaay ।
Likhne Ka Saahas Karun,
Chalisa Sir-Naay ॥

Dehare Ke Shri Chandra Ko,
Poojaun Man-Vach-Kaay ।
Riddhi-Siddhi Mangal Karen,
Vighn Door Ho Jaay ॥

॥ Chaupai ॥
Jai Shri Chandra Daya Ke Saagar,
Deharewale Gyaan-Ujaagar ॥
Shaanti-Chhavi Moorati Ati-Pyaari,
Bhesh-Digambar Dhaara Bhaari ॥

Naasa Par Hai Drishti Tumhaari,
Mohani-Moorati Kitni Pyaari ॥
Devon Ke Tum Dev Kahaavo,
Kasht Bhakt Ke Door Hataavo ॥

Samantabhadra Munivar Ne Dhyaaya,
Pindi Phati Darsh Tum Paaya ॥
Tum Jag Mein Sarvagya Kahaavo,
Ashtam-Tirthankar Kahlavo ॥

Mahasen Ke Rajdulaare,
Maat Sulakshana Ke Ho Pyaare ॥
Chandrapuri Nagari Atinaami,
Janm Liya Chandraprabh Swami ॥

Paush-Vadi-Gyaras Ko Janme,
Nar-Naari Harashe Tab Man Mein ॥
Kaam-Krodh-Trishna Dukhkaari,
Tyaag Sukhad Munideeksha-Dhaari ॥

Phalgun-Vadi-Saptami Bhaari,
Kevalgyaan Hua Sukhdaari ॥
Phir Sammed-Shikhar Par Jaake,
Moksh Gaye Prabhu Aap Vahaan Se ॥

Lobh-Moh Aur Chhodi Maaya,
Tumne Maan-Kashaay Nasaaya ॥
Raagi Nahin Nahin Tu Dveshi,
Veetaraag Tu Hit-Updeshi ॥

Pancham-Kaal Mahaa Dukhdaari,
Dharm-Karm Bhoole Sab Bhaai ॥
Alwar-Praant Mein Nagar Tijaara,
Hoy Jahaan Par Darshan Pyaara ॥

Uttar-Dishi Mein Dehara-Maahin,
Vahaan Aakar Prabhuta Pragataai ॥
Saavan Sudi Dashami Shubh Naami,
Prakat Bhaye Tribhuvan Ke Swami ॥

Chihan Chandra Ka Lakh Nar-Naari,
Chandraprabh Ki Moorti Maani ॥
Moorti Aapki Ati-Ujiyaali,
Lagta Heera Bhi Hai Jaali ॥

Atishay Chandraprabh Ka Bhaari,
Sunkar Aate Yaatri Bhaari ॥
Phalgun-Sudi-Saptami Pyaari,
Judta Hai Mela Yahaan Bhaari ॥

Kahalaane Ko To Shashidhar Ho,
Tej-Punj Ravi Se Badhkar Ho ॥
Naam Tumhaara Jag Mein Saancha,
Dhyaavat Bhaagat Bhoot-Pishaacha ॥

Raakshas-Bhoot-Pret Sab Bhaagen,
Tum Sumirat Bhay Kabhi Na Laage ॥
Keerti Tumhaari Hai Atibhaari,
Gun Gaate Nit Nar Aur Naari ॥

Jis Par Hoti Kripa Tumhaari,
Sankat Jhat Katta Hai Bhaari ॥
Jo Bhi Jaisi Aash Lagaata,
Poori Use Turat Kar Paata ॥

Dukhiya Dar Par Jo Aate Hain,
Sankat Sab Khokar Jaate Hain ॥
Khula Sabhi Hit Prabhu-Dvaar Hai,
Chamatkaar Ko Namaskaar Hai ॥

Andha Bhi Yadi Dhyaan Lagaave,
Uske Netra Sheeghra Khul Jaaven ॥
Bahra Bhi Sunne Lag Jaave,
Pagale Ka Paagalpan Jaave ॥

Akhand-Jyoti Ka Ghrit Jo Lagaave,
Sankat Uska Sab Kat Jaave ॥
Charanon Ki Raj Ati-Sukhkaari,
Dukh-Daridr Sab Naashanhaari ॥

Chalisa Jo Man Se Dhyaave,
Putra-Pautra Sab Sampati Paave ॥
Paar Karo Dukhiyon Ki Naiya,
Swami Tum Bin Nahin Khivaiya ॥

Prabhu Main Tum Se Kuch Nahin Chaahun,
Darsh Tihaara Nish-Din Paaun ॥

॥ Doha ॥
Karun Vandana Aapki,
Shri Chandraprabh Jinraaj ।
Jangal Mein Mangal Kiyo,
Rakho ‘Suresh’ Ki Laaj ॥

Popular Chandra Dev Temples

Chandra Dev — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Chandra Dev Katha
Chandra Dev Katha
MMA TeamKATHA
Chandra Dev Stuti
Chandra Dev Stuti
MMA TeamSTUTI
Chandra Dev Mantra
Chandra Dev Mantra
MMA TeamMANTRA
Chandra Dev Aarti
Chandra Dev Aarti
MMA TeamAARTI
Next Day's Chalisa — Friday