Yamuna Ji Chalisa
॥ Doha ॥
Priyasang Kreeda Karat NitSukhnidhi Ved Ko Saar ।
Daras Paras Te Paap MiteShri Krishna Pran Aadhar ॥
Yamuna Paavan Vimal Sujas Bhaktisakal Ras Khani ।
Shesh Mahesh Vandan Karat Mahima Na Jaaye Bakhani॥
Pujit Surasur Mukund Priya Sevahi Sakal Nar-Naar ।
Prakati Mukti Hetu Jag Sevahi Utarahi Paar॥
Bandi Charan Kar Jori KahoSuniyo Maatu Pukaar।
Bhakti Charan Chit Deike Keejai Bhav Te Paar॥
॥ Chaupai ॥
Jai Jai Jai Yamuna Maharani ।
Jai Kalindi Krishna Patarani ॥
Roop Anoop Shobha Chhavi Nyari ।
Madhav-Priya Braj Shobha Bhaari ॥
Bhuvan Basi Ghor Tap Kinha ।
Poorn Manorath Murari Kinha ॥
Nij Ardhhangi Tumhi Apnayo ।
Sanwaro Shyam Pati Priya Payo ॥
Roop Alaukik Adbhut Jyoti ।
Neer Renu Damakat Jyoon Moti ॥
Suryasuta Shyamal Sab Anga ।
Kotichandra Dyuti Kaanti Abhanga ॥
Aashray Brajadheeshwar Linha ।
Gokul Basi Shuchi Bhaktan Kinha ॥
Krishna Nand Ghar Gokul Aayo ।
Charan Vandi Kari Darshan Payo ॥
Solah Shringar Bhuj Kankan Sohe ।
Koti Kaam Laajahi Man Mohe ॥
Krishnavesh Nath Moti Rajat । Nupur ।
Ghunghroo Charan Mein Baajat ॥
Mani Manak Mukta Chhavi Neeki ।
Mohini Roop Sab Upma Feeki ॥
Mand Chalahin Priya-Pritam Pyari ।
Reejhahi Shyam Priya Priya Nihari ॥
Mohan Bas Kari Hriday Virajat ।
Binu Pritam Kshan Chain Na Pavat ॥
Muraleedhar Jab Murali Bajavein ।
Sang Keli Kar Anand Pavein ॥
Mor Hans Kokil Nit Khelat ।
Jalkhag Koojat Mridubani Bolat ॥
Ja Par Kripa Drishti Barsavein ।
Prem Ko Bhed Soi Jan Pavein ॥
Naam Yamuna Jab Mukh Pe Aavein ।
Sabahi Amangal Dekhi Tar Javein ॥
Bhaje Naam Yamuna Amrit Ras ।
Rahe Sanwaro Sada Tahi Bas ॥
Karunamayi Sakal Ras Khani ।
Sur Nar Muni Bandahi Sab Gyani ॥
Bhootal Prakati Avatar Jab Linha ।
Uddhar Sabhi Bhaktan Ko Kinha ॥
Shesh Gira Shruti Paar Na Pavat ।
Yogi Jati Muni Dhyan Lagavat ॥
Dand Pranam Je Aachaman Karahi ।
Nashahi Agh Bhavsindhu Tarahi ॥
Bhav Bhakti Se Neer Nhavein ।
Dev Sakal Tehi Bhagya Saravein ॥
Kari Braj Vaas Nirantar Dhyaavein ।
Paramanand Param Pad Pavein ॥
Sant Munijan Majjan Karahi ।
Nav Bhaktiras Nij Ur Bharahi ॥
Pooja Nem Charan Anuragi ।
Hoi Anugrah Darash Badbhaagi ॥
Deepdaan Kari Aarti Karahi ।
Antar Sukh Man Nirmal Rahahi ॥
Keerati Vishad Vinay Kari Gaavat ।
Siddhi Alaukik Bhakti Pavat ॥
Bade Prem Shri Yamuna Pad Gaavein ।
Mohan Sanmukh Sunan Ko Aavein ॥
Aatur Hoye Sharanagat Aavein ।
Kripa Kari Tahi Begi Apnavein ॥
Mamtamayi Sab Janahi Man Ki ।
Bhav Peeda Harahi Nij Jan Ki ॥
Sharan Pratipal Priya Kunjeshwari ।
Braj Upma Pritam Praneshwari ॥
Shreeji Yamuna Kripa Jab Hoi ।
Brahm Sambandh Jeev Ko Hoi ॥
Pushtimargi Nit Mahima Gaavein ।
Krishna Charan Nit Bhakti Dridhavein ॥
Namo Namo Shri Yamune Maharani ।
Namo Namo Shripati Patarani ॥
Namo Namo Yamune Sukh Karni ।
Namo Namo Yamune Dukh Harn ॥
Namo Krishnayein Sakal Gun Khani ।
Shri Haripriya Nikunj Nivasini ॥
Karunamayi Ab Kripa Keejai ।
Phadankati Mohi Sharan Mein Leejai ॥
Jo Yamuna Chalisa Nit Gaavein ।
Kripa Prasad Te Sab Sukh Pavein ॥
Gyan Bhakti Dhan Keerti Pavaahi ।
Ant Samay Shridham Te Jaahi ॥
॥ Doha ॥
Bhaj Charan Chit Sukh KaranHaran Trividh Bhav Traas ।
Bhakti Paai Anand RamanKripa Drishti Braj Vaas ॥
Yamuna Chalisa Nit Nem Te Paath Kare Man Laay ।
Krishna Charan Rati Bhakti DridhBhav Badha Mit Jaay ॥