Ganga  Mata  Katha

Ganga Mata Katha

00:0000:00
Pauranik katha ke anusaar, Raja Bali naamak shasak ne Bhagwan Vishnu ko prasann karke Prithvi lok par apna adhikaar jama liya tha aur swayam ko Bhagwan samajhne laga tha. Ahankaar mein choor hokar Raja Bali ne Devaraj Indra ko yuddh ke liye lalkara. Swarglok par khatra mandrata hua dekh Devaraj Indra Bhagwan Vishnu se madad maangne pahunche. Tab Raja Bali ke uddhar ke liye Bhagwan Vishnu ne Vaman roop dharan kar liya. Usi samay Raja Bali apne rajya ki sukh-samriddhi ke liye Ashwamedh yagya karwa raha tha, jismein usne vishal brahman bhojan ka aayojan kiya aur daan-dakshina di. Tabhi Bhagwan Vishnu Vaman roop mein Raja Bali ke paas pahunche. Bali ko yeh aabhaas ho gaya tha ki Bhagwan Vishnu hi unke paas aaye hain. Raja Bali ne jab brahman se daan maangne ke liye kaha, tab Bhagwan Vaman ne Raja Bali se teen kadam zameen daan ke roop mein maangi. Yeh sunkar Raja Bali khushi-khushi taiyaar ho gaya. Tab Bhagwan Vishnu ne apna vikraal roop dharan kiya. Unke charan itne vishal ho gaye ki unhone poori Prithvi ko ek kadam se naap liya aur doosre kadam se poore aakash ko. Iske baad Vaman Bhagwan ne poochha ki ve apna teesra kadam kahaan rakhen. Tab Raja Bali ne kaha ki “mere paas dene ke liye aur kuch nahi hai” aur apna sheesh jhuka kar kaha ki ve apna teesra kadam uske sharir par rakh dein. Tab Vaman Bhagwan ne aisa hi kiya aur is prakar Raja Bali Paatal lok mein sama gaya. Pauranik katha ke anusaar, jab Bhagwan Vishnu ne apna doosra charan aakash ki or uthaya tha, tab Brahma ji ne unke charan dhoye the aur us jal ko kamandal mein bhar liya tha. Jal ke tej se Brahma ji ke kamandal mein Maa Ganga ka janm hua tha. Kuch samay baad Brahma ji ne unhe Parvataraj Himalaya ko putri ke roop mein saunp diya tha. Ek katha yeh bhi prachalit hai ki jab Bhagwan Vaman ne apna ek charan aakash ki or uthaya tha, tab unki chot se aakash mein chhed ho gaya tha. Isi se teen dhaaraayein phoot padi thi. Ek dhaara Prithvi par giri, doosri Swarg mein aur teesri Paatal lok mein chali gayi. Isi liye Maa Ganga ko Tripathaga ke naam se bhi jaana jaata hai. ### Is tarah dharti par aayi Maa Ganga Ganga nadi ke dharti par aagaman ki ek katha yeh prachalit hai ki prachin kaal mein Sagar naamak pratapi raja hua karta tha. Usne apne samrajya ke vistaar ke liye Ashwamedh yagya ka aayojan kiya aur yagya ke dauraan ghoda chhod diya. Jab is yagya ka pata Devaraj Indra ko chala to ve chinta mein aa gaye. Unhe yeh bhay tha ki agar Ashwamedh ka ghoda Swarg se guzar gaya, to Raja Sagar Swarglok par bhi apna samrajya sthapit kar lenge. Pauranik kaal mein Ashwamedh yagya ke dauraan chhoda gaya ghoda jis rajya se guzarta tha, vah rajya us raja ka ho jaata tha. Isliye Swarglok gawaane ke bhay se Indra ne apna vesh badalkar Raja Sagar ke ghode ko chupchaap Kapil Muni ke ashram mein baandh diya. Is dauraan Kapil Muni ghor dhyaan mudra mein the. Jab ghode ki chori ki baat Raja Sagar ko mili, tab ve atyant krodhit ho gaye aur unhone aavesh mein aakar apne saath hazaar putron ko ghode ki khoj mein bhej diya. Jab unke putron ko yeh gyaan hua ki Kapil Muni ke ashram mein vah ghoda bandha hai, tab unhone bhrantivash Kapil Muni ko chor samajh liya aur unse yuddh karne ke liye ashram mein ghus gaye. Dhyaan mudra mein leen Kapil Muni ko jab shor sunai diya to ve ghatnasthal par pahunche, jahaan Raja Sagar ke putra unpar ghode ki chori ka jhootha ilzaam laga rahe the. Yeh sunkar Dev Muni atyant krodhit ho gaye aur unhone krodh mein aakar Raja Sagar ke sabhi putron ko agni mein bhasm kar diya. Iske baad ve sabhi pret yoni mein bhatakne lage. Aisa isliye hua kyunki bina antim sanskaar ke raakh mein badal jaane se unhe mukti prapt nahi ho pa rahi thi. Raja Sagar ke kul mein janme Raja Bhagirath ne apne poorvajon ki aatma ki shanti ke liye Bhagwan Vishnu ki kathor tapasya ki. Tapasya se prasann hokar jab Bhagwan Vishnu ne Bhagirath ko darshan diya, tab unhone varadaan maangne ke liye kaha. Bhagirath ne apne poorvajon ki aatma ki shanti ke liye Maa Ganga ko dharti par laane ki prarthana ki.Maa Ganga Mrityulok mein aane ke liye taiyaar nahi thi, lekin unhone ek yukti sochi aur yeh shart rakhi ki ve ati tivra veg se dharti par utarengi aur raaste mein aane wali sabhi cheezon ko baha dengi. Ganga ki is shart se Bhagwan Vishnu bhi chinta mein aa gaye aur Bholenath se iska samadhan nikaalne ke liye kaha. Tab Bhagwan Shankar ne kaha ki ve Ganga ko apni jataon mein samaahit kar lenge, jisse dharti par vinaash nahi hoga. Iske baad Bhagwan Shankar ne Maa Ganga ko apni jataon mein dhaaran kiya aur is prakar Ganga nadi dharti par prakat hui।

Popular Temples

God's Aartis
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday
Nothing for the next days.

Related Aarti

No related aartis found.