Gautam Buddha Ji Ki Aarti

Gautam Buddha Ji Ki Aarti

00:0000:00
Wo Gautam Gyani, dhanya ho Gautam Gyani,
Janm maran ka tumne bhed liya jaani.
Dhanya ho Gautam Gyani.

Pita Shuddhodhan, mata Mahamaya Rani,
Janm liya Lumbini van, Sakya muni saani.
Dhanya ho Gautam Gyani.

Jag ka ran-grih tyaga, van ki khaak chhani,
Dukh ka karan khoja, dridhta di thaani.
Dhanya ho Gautam Gyani.

Tathya lok ka samjha, satya hi pehchani,
Naam Tathagat tera pada sasammaani.
Dhanya ho Gautam Gyani.

Samta samanata tu, shanti moksh daani,
Dukh harta sukh karta, harta shaitani.
Dhanya ho Gautam Gyani.

Jiyo aur jeene do, kaha ye insani,
Par peeda nij samjho, dukh bhay pareshani.
Dhanya ho Gautam Gyani.

Man matang matwala, mera toofani,
Saran de Shri Gopal ka, har lo nagami.
Dhanya ho Gautam Gyani.

Popular Gautam Buddha Temples

Gautam Buddha — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Gautam Budha  Bhajan
Gautam Budha Bhajan
MMA TeamBHAJAN
Gautam Buddha Chalisa
Gautam Buddha Chalisa
MMA TeamCHALISA
Gautam Buddha Mantra
Gautam Buddha Mantra
MMA TeamMANTRA
Gautam Buddha Katha
Gautam Buddha Katha
MMA TeamKATHA
Next Day's Aarti — Saturday