Gautam Buddha Katha

Gautam Buddha Katha

00:0000:00
Gautam Buddha ko Bharat ke mahaan adhyatmik guron ki suchi me gina jata hai, jinke dwara diye gaye shanti, bhaichare aur adhyatm ke updesh hume aaj bhi prerit karte hain. Mahatma Buddha wo mahapurush the, jinhone Bharat ke saath-saath poore vishv ko prem aur sadbhav ka paath padhaya. Ek mahapratapi aur dhan-dhaanya se samriddh raja ke ghar janm lene ke bavjood unhone parivaarik moh-maya ka tyaag kiya aur sanyaas ka maarg apnaya. Sanyaas aur tapashcharya ke maarg par chalte hue unhe jis amoolya gyaan ki prapti hui, uska paath unhone poori duniya ko padhaya. Mahatma Buddha aage chalkar Bauddh dharm ke pravartak bane, jiske aaj vishv bhar me 47 crore anuyayi hain. Mahatma Buddha dwara saikdon varsh pehle diye gaye updesh aaj bhi prasangik hain. To aaiye aaj padhte hain Mahatma Buddha ke jeevan se judi ek badi hi prerak aur dilchasp kahani, jisme unhone bataya hai ki aadmi ki tulna kaise karein? Ek baar ek aadmi Mahatma Buddha ke paas pahucha. Usne poocha — “Prabhu, mujhe ye jeevan kyon mila? Itni badi duniya me meri kya keemat hai?” Buddha muskura diye aur us aadmi ko ek chamkeela patthar dete hue bole ki jao pehle iska moolya pata karke aao, lekin ise bechna mat, keval moolya pata karna. Wo aadmi sabse pehle us patthar ko lekar ek aamwale ke paas gaya aur use patthar dikhate hue bola — “Iski keemat kya hogi?” Aamwala patthar ko dekhte hi samajh gaya ki ye koi beshkeemti patthar lagta hai. Phir bhi vah banawati awaaz me bola ki main iske badle me 10 aam de sakta hoon. Aadmi wahan se chala gaya aur ek sabziwale ke paas pahucha, jisne kaha ki main iske badle 1 bori aaloo de sakta hoon. Ab us aadmi ko ye maloom pad chuka tha ki ye patthar vaastav me keemti hai aur phir wo use lekar ek heere ke vyapaari ke paas pahucha. Vyapaari patthar ko dekhkar achambhit reh gaya. Usne kaha ki main tumhe iske badle 10 lakh rupaye de sakta hoon. Aadmi Mahatma Buddha ke paas jaane ke liye muda hi tha ki vyapaari ne awaaz lagayi ki main tumhe iske badle me 50 lakh rupaye dene ko bhi taiyar hoon. Lekin aadmi nahi ruka. Vyapaari ne gidgidaate hue phir awaaz lagayi ki tum mujhe bas wo heera de do, badle me tum jitna dhan chaho, main dene ke liye taiyar hoon. Aadmi nahi maana aur Mahatma Buddha ke paas laut gaya aur unhe patthar wapas karte hue poora vrittant suna diya। Buddha muskuraakar bole — “Aamwale ne iska mol 10 aam lagaya, sabziwale ne 1 bori aaloo aur heere ke vyapaari ne kaha ki ye anmol hai. Is patthar ke gun jisne jitne samjhe, usne utne mol lagaye. Aisa hi ye jeevan hai. Har aadmi ek heere ke samaan hai. Duniya uske gunon ko jitna pehchaan paati hai, utni hi mahatta deti hai. Lekin aadmi aur heere me fark ye hai ki heere ko koi doosra taraashta hai aur aadmi ko apne aap ko khud hi taraashna padta hai. Tum bhi apne bheetar ke gunon ko taraasho, tumhe pehchaanne wala bhi koi na koi mil hi jayega." Mahatma Buddha ki is prerak kahani se hume ye seekh milti hai ki insaan ko uske gunon ke aadhar par mahatva diya jata hai।
About Gautam Buddha Ji
Alternate Names:
Siddhartha Gautama, Shakyamuni, Tathagata
Category:
Epic Characters
Gender:
Male
Avatar of:
Place:
Lumbini Nepal
Tithi:
Purnima
Favorite food:
Kheer

Popular Gautam Buddha Ji Temples

Gautam Buddha Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday

Related Aarti

No related aartis found.