Karwa Mata Aarti
00:0000:00
Om Jai Karwa Maiya,
Mata Jai Karwa Maiya।
Jo vrat kare tumhara, paar karo naiya॥
Om Jai Karwa Maiya।
Sab jag ki ho Mata, tum ho Rudrani।
Yash tumhara gaavat, jag ke sab prani॥
Kartik Krishna Chaturthi, jo nari vrat karti।
Deerghayu pati hove, dukh saare harti॥
Om Jai Karwa Maiya,
Mata Jai Karwa Maiya।
Jo vrat kare tumhara, paar karo naiya॥
Hoye suhagin nari, sukh sampatti paave।
Ganpati Ji bade dayalu, vighn sabhi naashe॥
Om Jai Karwa Maiya,
Mata Jai Karwa Maiya।
Jo vrat kare tumhara, paar karo naiya॥
Karwa Maiya ki aarti, vrat kar jo gaave।
Om Jai Karwa Maiya,
Mata Jai Karwa Maiya।
Vrat ho jaata pooran, sab vidhi sukh paave॥
Om Jai Karwa Maiya, Mata Jai Karwa Maiya।
Jo vrat kare tumhara, paar karo naiya॥
Popular Karwa Mata Temples
Karwa Mata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Aarti — Monday