Maa Katyayani Aarti
00:0000:00
Jai Jai Ambe, Jai Katyayani, Jai
Jagmata, Jag Ki Maharani
Baijnath Sthan Tumhara
Wahan Vardati Naam Pukara
Kai Naam Hain, Kai Dham Hain
Yah Sthan Bhi To Sukhdham Hai
Har Mandir Mein Jyot Tumhari
Kahin Yogeshwari Mahima Nyari
Har Jagah Utsav Hote Rehte
Har Mandir Mein Bhakt Hain Kehte
Katyayani Rakshak Kaya Ki
Granti Kaate Moh Maya Ki
Jhoothe Moh Se Chhudane Wali
Jai Jai Ambe, Jai Katyayani
Jai Jagmata, Jag Ki Maharani
Apna Naam Japane Wali
Brihaspativar Ko Puja Kariyo
Dhyan Katyayani Ka Dhariyo
Har Sankat Ko Door Karegi
Bhandare Bharpoor Karegi
Jo Bhi Maa Ko Bhakt Pukare
Katyayani Sab Kasht Nivare
Jai Jai Ambe, Jai Katyayani
Jai Jagmata, Jag Ki Maharani
Popular Maa Katyayani Temples
Maa Katyayani — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Aarti — Wednesday