Surya Ji Ki Aarti
Om Jai Surya Bhagwan, Om Jai Surya Bhagwan,
Om Jai Surya Bhagwan, Jai Ho Dinkar Bhagwan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Jagat ke netra swaroopa, tum ho trigun swaroopa,
Dharat sab hi tav dhyan, Jai Surya Bhagwan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Saarthi Arun hain Prabhu tum, shwet kamal dhaari, tum chaar bhuja dhaari॥
Ashwa hain saat tumhare, koti kiran pasaare, tum ho dev mahaan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Sandhya mein Bhuvaneshwar astachal jaate, godhan tab ghar aate॥
Godhooli bela mein, har ghar har aangan mein, ho tav mahima gaan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Dev-danuj nar-naari, rishi-munivar bhajate, Aditya Hriday japate॥
Stotra ye mangalkaari, iski hai rachna nyaari, de nav jeevandaan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Tum ho trikaal rachayita, tum jag ke aadhaar, mahima tav aparampaar॥
Praanon ka sinchan karke bhakton ko apne dete, bal buddhi aur gyaan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Bhoochar jalchar khechar, sabke hon praan tumhi, sab jeevon ke praan tumhi॥
Ved-puran bakhaane, dharm sabhi tumhe maane, tum hi sarvashaktimaan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Poojan karti dishaayein, pooje dash dikpaal, tum bhuvanon ke pratipaal॥
Rituyen tumhari daasi, tum shaashwat avinaashi, shubhkaari anshumaan॥
(Om Jai Surya Bhagwan…)
Om Jai Surya Bhagwan, Jai Ho Dinkar Bhagwan॥
Jagat ke netra swaroopa, tum ho trigun swaroopa॥
Dharat sab hi tav dhyan, Om Jai Surya Bhagwan॥
Download Surya Ji Ki Aarti PDF
