Ganesh Ji Ka Bhajan
00:0000:00
!! Ganesh Ji Ka Bhajan !!
Shri Ganesh Shri Ganesh gaaye jaa
Mangalmurti Moraya dohraaye jaa..
Vighn harenge Vighnaharta
Mangal karenge Mangalkarta..
Charan mein sheesh jhukaaye jaa..!
(Shri Ganesh Shri Ganesh gaaye jaa…)
Saare jagat ke hain paalankarta
Deva sabhi ke mangalkarta..
Dukhiyon ke sab dukh harte hain
Sab pe daya Deva karte hain
Man mein ye bhaav jagaaye jaa..!
(Shri Ganesh Shri Ganesh gaaye jaa…)
Aa jaaye jo koi Deva sharan mein
Khushiyon ke phool khile jeevan mein..
Hothon pe Deva ka jaykaara ho
Antarman mein ujiyaara ho
Sab andhiyaare mitaaye jaa..!
(Shri Ganesh Shri Ganesh gaaye jaa…)
Ganpati naam ki ratan laga le
Soya hua prarabdh jaga le..
Sukh sampatti bharpoor karenge
Bhav badha sab door karenge
Man sumiran mein lagaaye jaa..!
(Shri Ganesh Shri Ganesh gaaye jaa…)
Popular Shri Ganesh Temples
Shri Ganesh — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Bhajan — Saturday