Maa Kalaratri Bhajan
00:0000:00
Saatva Jab Navratra Ho, Anand Hi Chha Jaata।
Andhkaar Sa Roop Le, Pujti Ho Mata॥
Gale Mein Vidyut Maala Hai, Teen Netra Pragataati।
Dharti Krodhit Roop, Maa Chain Nahin Woh Paati॥
Gardabh Par Woh Baith Kar, Paap Ka Bhoj Uthaati।
Dharm Ki Rakhti Maryada, Vichalit Si Ho Jaati॥
Bhoot Pret Ko Door Kar, Nirbhayta Hai Laati।
Yoginiyon Ko Saath, Le Dheeraj Woh Dilwaati॥
Shakti Paane Ke Liye, Tantrik Dharte Dhyaan।
Mere Jeevan Mein Bhi, Do Halki Si Muskaan॥
Navratron Ki Maa Kripa Kar Do Maa।
Navratron Ki Maa Kripa Kar Do Maa॥
Jai Maa Kaalratri।
Jai Maa Kaalratri॥
Popular Maa Kalaratri Temples
Maa Kalaratri — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Bhajan — Monday