Shri  Brahma  Bhajan

Shri Brahma Bhajan

00:0000:00
Brahma Ji tera hi sajaya sansar hai, Brahma Ji tera hi sajaya sansar hai॥ Srishti ke rachaiya tu hi, tujhko naman baar baar hai, Brahma Ji tera hi sajaya sansar hai॥ Aap hi jeevan data, aap hi bhagya vidhata, Kan kan mein basne wale, aapse sabka nata॥ Aap hi jeevan data, aap hi bhagya vidhata, Kan kan mein basne wale, aapse sabka nata॥ Tera hi rachaya ye duniya ye jahaan hai, Hey antaryami teri mahima mahaan hai॥ Ho tera hi rachaya ye duniya ye jahaan hai, Hey antaryami teri mahima mahaan hai॥ Hum insaanon ka, hum insaanon ka tu hi ek palanhaar hai, Brahma Ji tera hi sajaya sansar hai॥ Brahma Ji jai jai hey kamalasan, jai jai hey chaturanan, Aapki jai jai jag mein gaaye har prani ka mann॥ Jai jai hey kamalasan, jai jai hey chaturanan, Aapki jai jai jag mein gaaye har prani ka mann॥ Hum sab aaye tere hi sharan mein, Dher saari khushiyan bhar do mere bhi jeevan mein॥ Hum sab aaye tere charan mein, Teri hi kripa se, teri hi kripa se jeevan ki naiya hoti paar hai॥ Brahma Ji tera hi sajaya sansar hai, Brahma Ji ho tera hi sajaya sansar hai॥
About Brahma Ji
Alternate Names:
Chaturmukha, Pitamaha, Vedanatha
Category:
God
Gender:
Male
Day:
Thursday
Weapons:
Kamandalu, Brahmastra
Vahan:
Swan
Favorite color:
Red

Popular Brahma Ji Temples

Brahma Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday

Related Aarti

No related aartis found.