
Chandraghanta Mata Chalisa
00:0000:00
Chandraghanta Maa Kalyani, pavan hai shubh naam
Gaura Girija roop hai, teesra sun lo gyaan
Chandraghanta Mata Kalyani,
Mamtamayi Mata Vardani
Girija ka hi roop kahave
Maiya bhakton ko ati bhaave
Sahas sab mein Devi bharti
Sant janon ki raksha karti
Devon ko vipda se bachaya
Haathon mein tha shastra uthaya
Vaahan सिंह ki kare sawaari
Raudra roop ki mahima bhaari
Kar mein Chakra Sudarshan dhaari
Paapi ran mein sakal pachhaade
Durga ka bhi roop kahave
Bhakton ki raksha ko aave
Ran mein bharti Maa hunkara
Bal jag mein hai jiska nyaara
Treta mein jab sankat chhaya
Raudra roop tab tumne dikhaya
Indra sinhasan asuran chheena
Sor bahut sab heene keenha
Mahishasur daanav ek bhaari
Devon ki sena thi pachhaadi
Devon ne tab dhyaan lagaya
Shiv ne Shakti punj banaya
Gaura ne tab roop tha dhaara
Durga ka keenha vistaara
Kar mein tab ghanti thi suhaayi
Chandra Ghanta Maa tab kahlaayi
Ghanta ran mein Maat bajaaya
Asuran ko tab maar giraaya
Devi ne hunkar bhari thi
Sahas ki lalkaar bhari thi
Mahishasur ka mardan keenha
Maiya ne sankat har leenha
Dharm dhwaja jag mein laharaave
Devta saare the harsaave
Chandraghanta Devi thi kahave
Durga banke shakti dikhaave
Ran mein saare asur pachhaade
Astra shastra se daanav maare
Granth kahe aisi bhi kahaani
Santo muniyon ne hai jaani
Shiv jo Himalaya nagari aaye
Bhoot pret aur gan bhi laaye
Ati bhayankar roop vishaala
Koi mota aur koi kaala
Dekh ke murchhit ho gayi Maina
Bhay se vyaakul rote naina
Devi ko dhang samajh na aaya
Gaura dhaari thi tab kaaya
Gaura ne tab shakti dikhaayi
Chandra Ghanta tab bani Mahamaayi
Ghanta bhaari tab tha bajaaya
Shiv ke ganon ko dara bhagaaya
Shiv ne jab tha roop nihaara
Jaana shakti sakal pasaara
Tab Devi Chandraghanta kahave
Vaar inka suhaave
Kar mein ghanti shobhit inki
Roop pe sab hai mohit jinki
Singh sawaari Maat ko pyaari
Shobhit Vrishabh ki bhi hai sawaari
Teesre din jo vrat ko dhaare
Maiya saare kaaj sanvaare
Devi Durga Maat kahave
Abhay mudra mein badi suhaave
Jan-jan chola laal chadhaave
Maiya se aashish bhi paave
Phal phoolon se sajta dwaara
Lagta dwaara sabse nyaara
Chandra Ghanta Devi Kalyani
Sukh se bharti Maa Vardani
Maiya mangal karne waali
Sukh se jholi bharne waali
Karti sabki poorn aasha
Man mein bharti hai vishwaasa
Chalisa jo inka gaata
Wo jan to bhav se tar jaata
Devi sabke dukhde harti
Sukh se sabki jholiyan bharti
Chandra Ghanta Chalisa ka itna hi hai saar
Prem se jo padhta jan hai, Maiya kar bhav se paar।।
About Chandraghanta Mata Ji
Alternate Names:
Durga, Chandi, Ranchandi
Category:
Devi
Gender:
Female
Weapons:
Bow and arrows, Trishul, Kamandalu, Sword
Vahan:
Lion
Favorite food:
Kheer, Sweets
Favorite color:
Golden, Red
Popular Chandraghanta Mata Ji Temples
Chandraghanta Mata Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday
Related Aarti
Related Aarti
No related aartis found.