Mobile Mandir
  • Home
  • Aarti & Bhajan
  • God
  • Naam Jaap
  • Temple
  • Seva
  • Sant
WishlistHelp
Get the complete experience on the
Mobile Mandir App
Available on the
App Store
Available on the
Google Play

Download Dhanvantari Ji Ki Chalisa PDF

Dhanvantari Ji Ki Chalisa lyrics
Dhanvantari Ji Ki Chalisa

Dhanvantari Ji Ki Chalisa

00:0000:00
|| Doha ||
Karun vandana Guru charan raj,
hriday rakhi Shri Ram।
Maatri pitr charan naman karun,
Prabhu kirti karun bakhan॥
Tav kirti adi anant hai,
Vishnu avatar Bhishak mahan।
Hriday mein aakar virajiye,
Jai Dhanvantari Bhagwan॥

|| Chaupai ||
Jai Dhanvantari jai rogari।
Sunlo Prabhu tum araj hamari॥
Tumhari mahima sab jan gaavein।
Sakal sadhujan hiy harshavein॥
Shashwat hai Ayurveda vigyana।
Tumhari kripa se sab jag jaana॥

Katha anokhi suni prakasha।
Vedon mein jyon likhi Rishi Vyasa॥
Kupit bhayau tab Rishi Durvasa।
Dinha sab devan ko shrapa॥
Shri heen bhaye sab tabahi।
Dar dar bhatke hue daridra hi॥

Sakal milat gaye Brahma loka।
Brahm vilokat bhaye hum shoka॥
Param pita ne yukti vichari।
Sakal samip gaye Tripurari॥
Umapati sang sakal padhare।
Rama pati ke charan pakhare॥

Aapki maya aap hi jaane।
Sakal baddh kar khade payane॥
Ik upay hai aap hi bole।
Sakal aushadh sindhu mein ghole॥
Ksheer sindhu mein aushadh dari।
Tanik hanse Prabhu leela dhari॥

Mandarachal ki mathani banai।
Danavon se aguvai karai॥
Dev jano ko peechhe lagaya।
Tal prishth ko swayam haath lagaya॥
Manthan hua bhayankar bhari।
Tab janme Prabhu leeladhari॥

Ansh avatar tab aap hi leenha।
Dhanvantari tehi naam dinha॥
Saumya chaturbhuj roop banaya।
Stavan sab devon ne gaya॥
Amrit kalash liye ek bhuja।
Ayurveda aushadh kar duja॥

Janm katha hai badi nirali।
Sindhu mein upje ghrit jyon mathani॥
Sakal devan ko dinhi kaanti।
Amar vaibhav se miti ashanti॥
Kalpavriksh ke aap sahodar।
Jeev jantu ke aap sahachar॥

Tumhari kripa se arogya paavein।
Sudridh vapu aru gyaan badhavein॥
Dev Bhishak Ashwini kumara।
Stuti karat sab bhishak parivara॥
Dharm arth kaam aru moksha।
Arogya hai sarvottam shiksha॥

Tumhari kripa se Dhanv raja।
Bana tapasvi nar bhu raja॥
Tanay ban Dhanv ghar aaye।
Abj roop Dhanvantari kahaye॥
Sakal gyaan Kaushik rishi paye।
Kaushik potra Sushrut kahaye॥

Aath ang mein kiya vibhajan।
Vividh roop mein gaavein sajjan॥
Atharva Ved se vigrah keenha।
Ayurveda naam tehi dinha॥
Kaya, bal, grah, urdhvang chikitsa।
Shalya, jara, drishti, vajisa॥

Madhav Nidana, Charak chikitsa।
Kashyap bal, Shalya Sushruta॥
Jai Ashtang jai Charak samhita।
Jai Madhav jai Sushrut samhita॥
Aap hai sab rogon ke shatru।
Udar netra mastik aru jatu॥

Sakal aushadh mein hai vyapi।
Bhishak mitra aatur ke saathi॥
Vishwamitra Brahmarishi gyan।
Sakal aushadh gyaan bakhan॥
Bharadwaj rishi ne bhi gaya।
Sakal gyaan shishyon ko sunaya॥

Kaya chikitsa bani ek shakha।
Jag mein phaili shalya pataka॥
Kaushik kul mein janma dasa।
Bhishakvar naam Ved prakasha॥
Dhanvantari ka likha chalisa।
Nitya gaave hove vajisa॥
Jo koi isko nitya dhyave।
Bal vaibhav sampann tan paave॥

|| Doha ||
Rog shok santap haran,
amrit kalash liye haath।
Jara vyadhi mad lobh moh,
haran karo Bhishak Nath॥
About Shri Dhanvantari
Name:
Shri Dhanvantari
Alternate Names:
Ayurveda
Category:
God
Gender:
Male
Day:
Sunday
Weapons:
Sudarshan Chakra
Vahan:
Garuda
Favorite food:
Fruits
Favorite color:
Yellow, Green
See All Detail
About Shri Dhanvantari
Name:
Shri Dhanvantari
Alternate Names:
Ayurveda
Category:
God
Gender:
Male
Day:
Sunday
Weapons:
Sudarshan Chakra
Vahan:
Garuda
Favorite food:
Fruits
Favorite color:
Yellow, Green
See All Detail
Get the complete experience on the
Mobile Mandir App
Available on the
App Store
Available on the
Google Play

Download Dhanvantari Ji Ki Chalisa PDF

Dhanvantari Ji Ki Chalisa lyrics

Popular Shri Dhanvantari Temples

Shri Dhanvantari — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Dhanvantari Ji Ki Katha
Dhanvantari Ji Ki Katha
MMA TeamKATHA
Shri Dhanvantari Stuti
Shri Dhanvantari Stuti
MMA TeamSTUTI
Shri Dhanvantri Mantra
Shri Dhanvantri Mantra
MMA TeamMANTRA
 Shri Dhanvantari Ji Ki Aarti
Shri Dhanvantari Ji Ki Aart...
MMA TeamAARTI
Next Day's Chalisa — Saturday

Related Chalisa

explore-card-image

Dhanvantari Ji Ki Katha

explore-card-image

Shri Dhanvantari Stuti

explore-card-image

Shri Dhanvantri Mantra

explore-card-image

Shri Dhanvantari Ji Ki Aarti

Mobile Mandir

Experience devotion anytime, anywhere with daily darshan, aarti, bhajan, naam jaap and seva in one app.

Quick Links

  • Home
  • Aarti & Bhajan
  • God
  • Temple
  • Naam Jaap
  • Sant

Support

  • Privacy Policy
  • Terms & Condition
  • FAQ
  • Support Center
  • Refund & Cancellation Policy
tv
Follow Us:
Download the App
Available on theApp Store
Available on theGoogle Play

Mobile Mandir is a product of Seoily Technologies Private Limited.

All seva payments are processed through secure escrow-based payment systems. Funds are released to verified partners only after successful delivery of photo/video proof in accordance with our policies.

By using this platform, you agree to our Privacy Policy, Terms & Conditions, and Refund & Cancellation Policy.

Mobile Mandir facilitates devotional seva services performed by verified partner organisations, including Gau Chara, animal feeding sevas and temple offerings across India.

Video proof timelines may vary by seva type. For support, payment assistance, or grievances, contact contact@mobilemandirapp.com or +91 90413 36051.

Payment release to service partners occurs only after mandatory proof verification is completed.

Scan QR code
App StoreGoogle Play

© 2026 Mobile Mandir. All rights reserved.

Designed & Developed bySeoily
nav-iconGau Seva
nav-iconBird Feeding
nav-iconDog Feeding
nav-iconAnt Feeding
nav-iconFish Feeding
nav-iconMonkey Feeding