
Narmada Mata Chalisa
00:0000:00
॥ Doha ॥
Devi Poojita Narmada, Mahima Badi Apaar।
Chalisa Varnan Karat, Kavi Aru Bhakt Udaar॥
Inki Seva Se Sada, Mitate Paap Mahaan।
Tat Par Kar Jap Daan Nar, Paate Hain Nit Gyaan॥
॥ Chaupai ॥
Jai-Jai-Jai Narmada Bhavani । Tumhari Mahima Sab Jag Jaani॥
Amarkantth Se Niklin Mata। Sarv Siddhi Nav Nidhi Ki Daata॥
Kanya Roop Sakal Gun Khaani । Jab Prakatin Narmada Bhavani॥
Saptami Surya Makar Ravivara । Ashwini Maagh Maas Avataara॥
Vaahan Makar Aapko Saajain । Kamal Pushp Par Aap Virajain॥
Brahma Hari Har Tumko Dhyaavain । Tab Hi Manvanchhit Phal Paavain॥
Darshan Karat Paap Kati Jaate । Koti Bhakt Gan Nitya Nahaate॥
Jo Nar Tumko Nit Hi Dhyaavai । Vah Nar Rudra Lok Ko Jaavai॥
Magarmachchh Tum Mein Sukh Paavain । Antim Samay Paramapad Paavain॥
Mastak Mukut Sada Hi Saajain । Paanv Painjani Nit Hi Raajain॥
Kal-Kal Dhvani Karti Ho Mata । Paap Taap Harti Ho Mata॥
Poorab Se Pashchim Ki Ora । Bahtin Mata Naachat Mora॥
Shaunak Rishi Tumharau Gun Gaavain । Soot Aadi Tumharau Yash Gaavain॥
Shiv Ganesh Bhi Tere Gun Gaavain। Sakal Dev Gan Tumko Dhyaavain॥
Koti Teerth Narmada Kinaare । Ye Sab Kahlate Dukh Haare॥
Manokamna Pooran Karti । Sarv Dukh Maa Nit Hi Hartin॥
Kankhal Mein Ganga Ki Mahima । Kurukshetra Mein Saraswati Mahima॥
Par Narmada Graam Jangal Mein । Nit Rahti Mata Mangal Mein॥
Ek Baar Karke Asnaana । Tarat Peedhi Hai Nar Naara॥
Mekal Kanya Tum Hi Reva । Tumhari Bhajan Karen Nit Deva॥
Jata Shankari Naam Tumhara । Tumne Koti Janon Ko Taara॥
Samodbhava Narmada Tum Ho । Paap Mochani Reva Tum Ho॥
Tum Mahima Kahi Nahin Jaai । Karat Na Banti Matu Badaai॥
Jal Prataap Tummein Ati Mata । Jo Ramaneey Tatha Sukh Daata॥
Chaal Sarpini Sam Hai Tumhari । Mahima Ati Apaar Hai Tumhari॥
Tum Mein Padi Asthi Bhi Bhaari । Chhuvat Paashaan Hot Var Vaari॥
Yamuna Mein Jo Manuj Nahaata । Saat Dinon Mein Vah Phal Paata॥
Sarasuti Teen Dinon Mein Detin । Ganga Turat Baad Hi Detin॥
Par Reva Ka Darshan Karke । Maanav Phal Paata Man Bhar Ke॥
Tumhari Mahima Hai Ati Bhaari । Jisko Gaate Hain Nar-Naari॥
Jo Nar Tum Mein Nitya Nahaata । Rudra Lok Mein Pooja Jaata॥
Jadi Bootiyan Tat Par Raajen । Mohak Drishya Sada Hi Saajen॥
Vaayu Sugandhit Chalti Teera । Jo Harti Nar Tan Ki Peera॥
Ghaat-Ghaat Ki Mahima Bhaari । Kavi Bhi Gaa Nahin Sakte Saari॥
Nahin Jaanun Main Tumhari Pooja । Aur Sahara Nahin Mam Dooja॥
Ho Prasann Upar Mam Mata । Tum Hi Matu Moksh Ki Daata॥
Jo Maanav Yah Nit Hai Padhta । Uska Maan Sada Hi Badhta॥
Jo Shat Baar Ise Hai Gaata । Vah Vidya Dhan Daulat Paata॥
Aganit Baar Padhai Jo Koi । Pooran Manokamna Hoi॥
Sabke Ur Mein Basat Narmada । Yahan Vahan Sarvatra Narmada॥
॥ Doha ॥
Bhakti Bhaav Ur Aani Ke, Jo Karta Hai Jaap।
Mata Ji Ki Kripa Se, Door Hot Santaap॥
About Narmada Ji
Name:
Category:
Devi
Gender:
Female
Day:
Monday
Weapons:
Kamandalu
Vahan:
Crocodile
Favorite food:
Fruits, Milk, Coconut, Kheer
Favorite color:
White, Blue
Suggested Seva:
Offer Water to Sun
Popular Narmada Ji Temples
Narmada Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday
Nothing for the next days.
Related Aarti
Related Aarti
No related aartis found.