Maa Kushmanda Katha
Mata Kushmanda Ko Brahmand Ki Rachnakar Mana Jata Hai.Kushmanda Ka Arth Halki Ya Divya Muskaan Hota Hai.Katha KeAnusar,JabBrahmand Mein Chaaron Or Andhkaar Hi Andhkaar Tha,Tab Bhagwan Brahma Bahut Niraash Ho Gaye The.Unhone Brahmand Ki Rachna To Kar Di Thi,Lekin Kahin Bhi Prakash Nahi Tha Aur Sab Kuch Shaant Pada Hua Tha.Tab Bhagwan Brahma Ne Maa Aadishakti Durga Ka Aahvaan Kiya.Maa Durga Ne Apne Swaroop Kushmanda Devi Ko Prakat Kiya.
Unhone Mata Kushmanda Ko Brahmand Ki Rachna Ka Daayitva Saunpa.Tab Mata Ne Apni Halki Muskaan Se Poore Brahmand Mein Prakash Faila Diya.Isi Karan Mata Kushmanda Ko Brahmand Ki Rachnakar Devi Mana Jata Hai.Ve Srishti Mein Prakash Aur Urja Ka Sanchar Karne Wali Devi Hain.Maa Kushmanda Ka Nivaas Sthaan Surya Ka Aabhamandal Mana Jata Hai.Isi Karan Unka Shareer Surya Ke Samaan Tejasvi Mana Jata Hai.Unke Mukh Se Atyadhik Tej Nikalta Hai.Mata Kushmanda Apne Bhakton Par Sadaiv Kripa Banaye Rakhti Hain.
Download Maa Kushmanda Katha PDF
