Sheetla Mata Katha

Sheetla Mata Katha

00:0000:00
Dharm grantho ke anusaar ek gaon me ek Brahman parivaar rehta tha. Mata-pita ke alawa unke do bete aur do bahuen thi. Kaafi samay tak dono bahuon ko santaan nahi hui. Tab dono ne Sheetla Saptami ka vrat rakha aur Mata ki kripa se dono ko santaan prapt hui.

Agli baar jab Sheetla Saptami aayi to dono bahuon ne socha ki agar thanda khana khayengi to tabiyat kharab ho sakti hai. Isliye dono ne chupke se garam bhojan kha liya.

Jab dono apne bachchon ko uthane gayin to dekha ki dono bachche mrut pade hain. Dono zor-zor se rone lagi. Saas ko sach pata chala to usne kaha ki yeh sab Sheetla Mata ke prakop se hua hai aur dono ko ghar se nikal diya.

Dono bahuen apne bachchon ko lekar ghar se nikal gayin. Raaste me unhe do behne mili jin ka naam Ori aur Sheetla tha. Dono bahuon ne unke sir se juen nikali, jisse khush hokar unhone kaha ki tumhari har ichchha poori hogi.

Tab dono bahuon ne kaha ki hum Devi Sheetla ko khoj rahi hain. Tab un behnon me se ek ne kaha ki tum dono ne Sheetla Saptami ke din garam bhojan kiya tha, isi wajah se tumhare bachchon ki yeh haalat hui hai.

Dono bahuen samajh gayin ki yeh swayam Mata Sheetla hain. Ve Mata ke charanon me gir padi aur maafi maangne lagi. Mata prasann ho gayin aur dono bachchon ko jeevit kar diya.

Dono bahuen khushi-khushi apne bachchon ko lekar gaon laut aayi. Jab gaon walon ne Mata Sheetla ka yeh chamatkar suna to sabne Mata ka mandir banwaya aur pooja karne lage.

Popular Sheetla Mata Temples

Sheetla Mata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Sheetla Mata Stuti
Sheetla Mata Stuti
MMA TeamSTUTI
Sheetla Mata Mantra
Sheetla Mata Mantra
MMA TeamMANTRA
Sheetla  Mata  Bhajan
Sheetla Mata Bhajan
MMA TeamBHAJAN
Sheetla Mata Chalisa
Sheetla Mata Chalisa
MMA TeamCHALISA
Sheetla Mata Aarti
Sheetla Mata Aarti
MMA TeamAARTI
Next Day's Katha — Friday