Shri Shani Dev Katha
00:0000:00
Ek samay ki baat hai, sabhi nau grah — Surya, Chandra, Mangal, Budh, Brihaspati, Shukra, Shani, Rahu aur Ketu — is baat par vivaad karne lage ki unme sabse bada kaun hai.Jab koi faisla nahi ho saka, to sabhi grah nyay ke liye Maharaj Vikramaditya ke paas gaye.Raja Vikramaditya ne sabhi grahon ka samman karne ke liye anokha prabandh kiya. Unhone sone, chandi, kansya, peetal, seesa, ranga, jasta, abhrak aur lohe ke nau singhasan banwaye aur sabhi grahon ko baithne ke liye kaha.
Shani Dev ko lohe ka singhasan mila, jo sabse ant me tha. Yeh dekhkar Shani Dev krodhit ho gaye aur bole —
“Rajan! tumne mujhe sabse neeche sthaan diya hai. Jab meri mahadasha aati hai, to bade-bade raja bhi sankat me aa jate hain. Ab tum savdhan rehna.”
Itna kehkar Shani Dev chale gaye
Kuch samay baad Raja Vikramaditya par Shani Dev ki dasha ka prabhav padne laga. Unka jeevan kathinaiyon se bhar gaya.
Raja kabhi ghodon ke saudagar ban gaye, kabhi unhe apmaan sahna pada, aur ek samay aisa bhi aaya jab un par jhootha aarop lag gaya. Unhe teli ke ghar me kaam bhi karna pada aur unki poori pratishtha khatam ho gayi.
Yeh sab Shani Dev ki sadhesati ka prabhav tha.
Jab yeh kathin samay khatam hua, tab Shani Dev ne swapn me Raja Vikramaditya ko darshan diye aur bataya ki yeh sab unke apmaan ka parinaam tha.
Raja ne vinamrata se kshama maangte hue kaha, “He Shanidev! Aapne mujhe jo dukh diya, vaisa kisi aur ko kabhi na dena.” Raja ki vinamrata se Shani Dev prasann ho gaye aur unhone vardaan diya ki jo bhi vyakti Shanivaar ke din shraddhapoorvak unki katha sunega aur vrat rakhega, us par unki kripa bani rahegi aur vah sabhi kashton se mukt rahega.

About Shani Dev
Name:
Alternate Names:
Shanaishchara, Shani Maharaj, Son of Surya
Category:
Devta
Gender:
Male
Day:
Saturday
Weapons:
Trishul, Bow and arrows
Vahan:
Crow
Favorite food:
Sesame Seeds, Black gram
Favorite color:
Black
Get the complete experience on the
Mobile Mandir App
Download Shri Shani Dev Katha PDF
Lyrics image unavailable
Popular Shani Dev Temples
Shani Dev — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Katha — Thursday