Vindhyavasini Mata Katha

Vindhyavasini Mata Katha

00:0000:00
Vindhyavasini Mata ki katha ke anusar wo Maa Durga ka bahut shaktishali roop mani jati hain. Unka prasiddh mandir Uttar Pradesh ke Vindhyachal dham me sthit hai isliye unhe Vindhyavasini Mata kaha jata hai, yani Vindhya parvat par vaas karne wali devi. Purano ke anusar jab prithvi par adharm aur rakshason ka atyachar badh gaya tha tab devtaon ne Maa Adishakti se prarthana ki ki wo dharm ki raksha ke liye prakat ho. Usi samay Bhagwan Vishnu ne Shri Krishna ke roop me janm lene ka sankalp liya aur Yogmaya ko apni leela me sahayata karne ko kaha. Jab Shri Krishna ka janm Mathura ki jail me hua tab Vasudev ji unhe Gokul me Nand baba aur Yashoda mata ke ghar chhod aaye aur waha janmi ek kanya ko lekar wapas aa gaye. Jab Kans ko pata chala to wo us kanya ko marne ke liye aya. Lekin jaise hi usne kanya ko patthar par patakna chaha wo uske haath se chhoot kar aakash me prakat ho gayi aur divya roop dharan karke boli ki “Hey Kans, tujhe marne wala janm le chuka hai.” Itna kehkar wo Vindhya parvat par jaakar virajman ho gayi aur Vindhyavasini Devi ke naam se prasiddh hui. Ek anya katha ke anusar Maa Vindhyavasini ne kai rakshason ka vadh kiya aur apne bhakton ki raksha ki. Maa ko shakti, sahas aur raksha ki devi mana jata hai. Kaha jata hai ki jo bhakt sachche man se Maa ki pooja karta hai uski sabhi manokamnayein puri hoti hain. Navratri ke samay lakhon bhakt Vindhyachal dham me Maa ke darshan ke liye aate hain aur Mata ka ashirwad prapt karte hain।
About Vindhyavasini Mata Ji
Category:
Devi
Gender:
Female
Avatar of:
Day:
Friday
Tithi:
Navami, Ashtami
Weapons:
Trishul
Vahan:
Lion
Favorite food:
Halwa
Favorite color:
Red

Popular Vindhyavasini Mata Ji Temples

Vindhyavasini Mata Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday
Nothing for the next days.

Related Aarti

No related aartis found.