Yamraj Ji Ki Katha
Ek nagar mein ek sahookar apni patni ke saath rehta tha, lekin ve dono nissantaan the. Ve dono Bhagwan Shankar ki pooja kiya karte the.Ek din Mata Parvati Ji ne Bhagwan Shankar se kaha, "Ye dono aapki itni pooja karte hain, phir bhi aap inki ichchha poori kyon nahi karte?"Bhagwan Shankar ne kaha, "Inhein santaan sukh nahi hai, isliye ye itni pooja karte hain."Mata Parvati Ji bolin, "Aap inhein putra kyon nahi de rahe hain?"
Bhagwan Shankar ne kaha, "Inke bhaagya mein putra sukh nahi hai."Lekin Mata Parvati Ji nahi maani aur apni baat par adi rahin.
Tab Bhagwan Shankar bole, "Theek hai, inhein putra ki praapti hogi, lekin vah keval baarah varsh tak hi jeevit rahega."Sahookar Bhagwan Shankar aur Mata Parvati Ji ki baatein sun raha tha. Kuch samay baad sahookar ki patni ne ek putra ko janm diya. Poora parivaar bahut khush hua aur ghar mein utsav manaya gaya.
Jab unka beta bada hua, toh sahookarni kehne lagi ki main apne bete ka vivaah karvaungi. Sahookar ne use bahut samjhaya, lekin vah nahi maani. Tab sahookar ne kaha, "Hamare bete ki aayu keval baarah varsh ki hai."Sahookarni boli, "Koi baat nahi, main iska vivaah karke apni ichchha poori kar loongi."Sahookar ne bete ka vivaah kar diya. Ghar mein bahu aa gayi. Sahookar ne bahu ko saari baat bata di ki uske pati ki aayu keval baarah varsh ki hai.Bahu ne kaha, "Koi baat nahi, mere bhaagya mein jo likha tha, wahi hua. Ab hum teeno milkar pooja karenge."
Iske baad unhone har roz pooja karna shuru kar diya.
Ek din aisa bhi aaya, jab ladke ki aayu poori ho gayi. Yamraj Sahookar ke bete ko lene aaye, toh sahookar kehne laga, "Mera putra apni patni ke saath hai."Yamraj uski patni ke paas gaye, toh vah boli, "Abhi toh mere pati ne jeevan ka koi sukh bhi nahi dekha aur aap inhein lene aa gaye."
Yamraj bole, "Iski itni hi aayu thi, jo ise bhogni thi."Patni ne kaha, "Hey Bhagwan! Kya koi aisa upaay nahi hai, jisse mere pati ki aayu badh jaaye?"Yamraj bole, "Ek kaam karo. Bhagwan ka naam lekar kaala kambal, lohe ki thaali aur sava paanch rupaye uthakar rakh do. Ek varsh poora hone par ye cheezein kisi zarooratmand vyakti ko de dena. Tumhare pati ki aayu lambi ho jaayegi."Jaisa Yamraj ne bataya, bahu ne vaisa hi kiya. Usne kaala kambal, lohe ki thaali aur sava paanch rupaye rakh diye.Ek varsh poora hone par usne ye sabhi cheezein daan kar di. Iske phalswaroop uske pati ki aayu lambi ho gayi.