Maa Brahmacharini Aarti

Maa Brahmacharini Aarti

00:0000:00

Jai Ambe Brahmacharini Mata

Jai Chaturanan Priya Sukh Data

Brahma Ji Ke Man Bhati Ho

Gyan Sabhi Ko Sikhlaati Ho


Brahma Mantra Hai Jaap Tumhara

Jisko Jape Sakal Sansara.

Jai Gayatri Ved Ki Mata.

Jo Man Nish Din Tumhein Dhyata.


Kami Koi Rehne Na Paaye.

Koi Bhi Dukh Sehne Na Paaye.

Uski Virati Rahe Thikane.

Jo Teri Mahima Ko Jaane.


Rudraksh Ki Mala Le Kar.

Jape Jo Mantra Shraddha De Kar.

Aalas Chhod Kare Gungana.

Maa Tum Usko Sukh Pahunchana.


Brahmacharini Tero Naam.

Poorn Karo Sab Mere Kaam.

Bhakt Tere Charanon Ka Pujari.

Popular Maa Brahmacharini Temples

Maa Brahmacharini — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Aarti — Wednesday