
Maa Brahmacharini Katha
Devi Brahmacharini ki katha ke anusaar poorv janm mein is Devi ne Himalaya ke ghar putri roop mein janm liya tha. Naradji ke updesh se Bhagwan Shankar ko pati roop mein prapt karne ke liye ghor tapasya ki thi. Is kathin tapasya ke karan inhen Tapashcharini arthaat Brahmacharini naam se abhihit kiya gaya.
Ek hazaar varsh tak inhone keval phal-phool khaakar bitaye aur sau varshon tak keval zameen par rahkar shaak par nirvah kiya. Kuchh dinon tak kathin upvaas rakhe aur khule aakash ke neeche varsha aur dhoop ke ghor kasht sahe. Teen hazaar varshon tak toote hue Bilva patra khaye aur Bhagwan Shankar ki aaradhana karti rahin.
Iske baad to unhone sookhe Bilva patra khaana bhi chhod diye.
Kai hazaar varshon tak nirjal aur niraahaar rahkar tapasya karti rahin. Patton ko khaana chhod dene ke karan hi inka naam Aparna pad gaya. Kathin tapasya ke karan Devi ka sharir ekdam ksheen ho gaya. Devata, Rishi, Siddhagan aur Muni sabhi ne Brahmacharini ki tapasya ko abhootpoorv punya kritya bataya, sarahana ki aur kaha — He Devi! Aaj tak kisi ne is tarah ki kathor tapasya nahi ki. Yah tumhi se hi sambhav thi.
Tumhari manokamna paripoorn hogi aur Bhagwan Chandramauli Shivji tumhen pati roop mein prapt honge. Ab tapasya chhodkar ghar laut jao. Jald hi tumhare pita tumhen bulaane aa rahe hain.
Is Devi ki katha ka saar yah hai ki jeevan ke kathin sangharshon mein bhi man vichalit nahi hona chahiye. Maa Brahmacharini Devi ki kripa se sarv siddhi prapt hoti hai. Durga Puja ke doosre din Devi ke isi swaroop ki upasana ki jaati hai.
