
Maa Brahmacharini Chalisa
Doha
Koti koti naman mere mata pita ko, jisne diya sharir.
Balihari jaun Guru Dev ne, diya Hari bhajan mein sir॥
Chaupai
Jai Jai Jag Maat Brahmani.
Bhakti Mukti Vishva Kalyani॥
Veena pustak kar mein sohe.
Sharada sab jag sohe॥
Hans Vahini Jai Jag Mata.
Bhakt janan ki ho sukh data॥
Brahmani Brahma lok se aayi.
Maat lok ki karo sahai॥
Kshir Sindhu mein prakati jab hi.
Devon ne jai boli tab hi॥
Chaturdash ratnon mein maani.
Adbhut maya Ved bakhani॥
Char Ved shat shastra ki gatha.
Shiv Brahma koi paar na pata॥
Aadi Shakti avatar Bhavani.
Bhakt janon ki Maa Kalyani॥
Jab-jab paap badhe ati bhaare.
Mata shastra kar mein dhare॥
Paap Vinashini tu Jagadamba.
Dharm hetu na kari vilamba॥
Namo Namo Brahmi Sukhkari.
Brahma Vishnu Shiv tohe maani॥
Teri leela ajab nirali.
Sahay karo Maa Pallu wali॥
Dukh chinta sab badha harani.
Amangal mein mangal karani॥
Annapurna ho ann ki data.
Sab jag palan karti Mata॥
Sarv vyapini asankhya roopa.
To kripa se tartaa bhav koopa॥
Chandra bimb aanan sukhkari.
Akshamal yut hans sawari॥
Pavan putra ki kari sahai.
Lanka jaar anal sit laai॥
Kop kiya Dash Kandh pe bhaari.
Kutumb sanhara sena bhaari॥
Tu hi Maat Vidhi Hari Har Deva.
Sur nar muni sab karte seva॥
Dev danav ka hua samvada.
Maare paapi meti badha॥
Shri Narayan ang samai.
Mohini roop dhara tu Mai॥
Dev daityon ki pankti banai.
Devon ko Maa sudha pilai॥
Chaturai kar ke Maha Mai.
Asuron ko tu diya mitai॥
Nau khand maahi neja pharke.
Bhage dusht adham jan dar ke॥
Terah sau painsath ki saala.
Ashwin maas pakh ujiyala॥
Ravi sut baar Ashtami jwala.
Singh aarudh kar lekar bhala॥
Nagar Kot se kiya payana.
Pallu Kot bhaya asthana॥
Chausath Yogini Bawan Beera.
Sang mein le aayi Randhira॥
Baith bhavan mein nyay chukani.
Dwarpal Sadul agwani॥
Saanjh savere baje nagara.
Uthta bhakton ka jaikara॥
Madh ke beech khadi Maa Brahmani.
Sundar chhavi hothon ki laali॥
Paas mein baithi Maa Veena wali.
Utri madh baithi Maha Kali॥
Laal dhwaja tere mandir pharke.
Man harshata darshan karke॥
Chait Asoj mein bharta mela.
Door-door se aate chela॥
Koi sang mein, koi akela.
Jaikaron ka deta hela॥
Kanchan kalash shobha de bhaari.
Divya pataka chamke nyari॥
Sees jhuka jan shraddha dete.
Aashish se jholi bhar lete॥
Teen lokon ki karta bharta.
Naam liye sab karaj sarta॥
Mujh balak pe kripa kijyo.
Bhool-chook sab maafi dijyo॥
Mand mati yah daas tumhara.
Do Maa apni bhakti apara॥
Jab lagi jiyu daya phal paun.
Tumharo jas main sada hi gaun॥
Doha
Raag dvesh mein lipt man, main kutil buddhi agyaan.
Bhav se paar karo Mateshwari, apna anugat jaan॥