Maa Siddhidatri Aarti

Maa Siddhidatri Aarti

00:0000:00

Jai Siddhidatri Tu Siddhi Ki Data

Tu Bhakton Ki Rakshak, Tu Daason Ki Mata

Tera Naam Lete Hi Milti Hai Siddhi

Tere Naam Se Mann Ki Hoti Hai Shuddhi


Kathin Kaam Siddh Karati Ho Tum

Haath Sevak Ke Sar Dharti Ho Tum

Teri Puja Mein Na Koi Vidhi Hai

Tu Jagdambe Daati, Tu Sarvasiddhi Hai


Ravivar Ko Tera Sumiran Kare Jo

Teri Murti Ko Hi Mann Mein Dhare Jo

Tu Sab Kaaj Uske Karati Ho Poore

Kabhi Kaam Uske Rahe Na Adhoore


Tumhari Daya Aur Tumhari Yeh Maya

Rakhe Jiske Sar Par, Maiya Apni Chhaya

Sarva Siddhi Daati, Woh Hai Bhagyashali

Jo Hai Tere Dar Ka Hi Ambe Sawali


Himachal Hai Parvat Jahan Vaas Tera

Mahananda Mandir Mein Hai Vaas Tera

Mujhe Aasra Hai Tumhara Hi Mata

Vandana Hai Sawali, Tu Jiski Daata!

Popular Maa Siddhidatri Temples

Maa Siddhidatri — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Aarti — Wednesday