Maa Siddhidatri Bhajan
00:0000:00
Navami Ka Navratri Hi Pooran Karaye Kaam
Siddhidatri Roop Ko Karte Sabhi Pranaam
Chaturbhuji Darshan Diya Kamal Pushp Aasan
Shankh Chakra Gada Liye Karti Jag Shaasan
Amrit Pad Shiv Ko Diya Ang Sang Muskaan
Sabke Kashton Ko Haro Dekar Bhakti Gyaan
Dikhlati Ho Aap Hi Surya Chandra Aakaash
Deti Sabhi Dishaon Ko Jal Vayu Prakaash
Varad Hast Ho Aapka Sukh Samriddhi Paaye
Idhar Udhar Na Bhatkoon Main Mujhko Bhi Apnaaye
Navratron Ki Maa Kripa Kar Do Maa
Navratron Ki Maa Kripa Kar Do Maa
Jai Maa Siddhidatri
Jai Maa Siddhidatri
Popular Maa Siddhidatri Temples
Maa Siddhidatri — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Bhajan — Monday