Mata Parvati Ki  Aarti

Mata Parvati Ki Aarti

00:0000:00
Jai Parvati Mata,
Jai Parvati Mata,
Brahma Sanatan Devi,
Shubh Fal Ki Data ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Arikul Kantak Nasani,
Nij Sevak Trata,
Jagjanani Jagdamba,
Harihar Gun Gata ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Singh Ko Vahan Saje,
Kundal Hai Satha,
Dev Vadhu Jas Gavat,
Niratya Karat Ta Tha ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Satyug Roop Atisundar,
Nam Sati Kahlata,
Hemanchal Ghar Janmi,
Sakhiyan Sang Rata ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Shumbh Nishumbh Vidare,
Hemachal Sthata,
Sahastra Bhuja Tanu Dharike,
Chakra Liyo Hatha ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Srashti Roop Tumhi Hai Janani,
Shiv Sang Rang Rata,
Nandi Bhringi Been Lahi,
Sara Jag Madmata ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Devan Araj Karat Hum,
Charan Dhyan Lata,
Teri Kripa Rahe Too,
Man Nahi Bharmata ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Maiya Ji Ki Aarati,
Bhakti Bhav Se Jo Nar Gata,
Nity Sukhi Rah Karake,
Sukh Sampatti Pata ।
॥ Jai Parvati Mata...॥

Jai Parvati Mata,
Jai Parvati Mata,
Brahma Sanatan Devi,
Shubh Fal Ki Data ।

Popular Parvati Mata Temples

Parvati Mata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Parvati Mata Stuti
Parvati Mata Stuti
MMA TeamSTUTI
Parvati Mata Mantra
Parvati Mata Mantra
MMA TeamMANTRA
Parvati Mata Katha
Parvati Mata Katha
MMA TeamKATHA
Mata Parvati Bhajan
Mata Parvati Bhajan
MMA TeamBHAJAN
Parvati Ji Ki Chalisa
Parvati Ji Ki Chalisa
MMA TeamCHALISA
Next Day's Aarti — Friday