Maa Skandamata Bhajan

Maa Skandamata Bhajan

00:0000:00

Navratri Ki Panchvi Skanda Mata Maharani
Iska Mamta Roop Hai, Dhyaye Gyani Dhyani॥


Kartikeya Ko God Le, Karti Anokha Pyaar।
Apni Shakti Di Use, Kare Rakt Sanchar॥


Bhoore Singh Pe Baith Kar, Mand-Mand Muskaaye।
Kamal Ka Aasan Saath Mein, Uspar Liya Sajaaye॥


Aashirwad De Haath Se, Man Mein Bhare Umang।
Kirtan Karta Aapka, Chhade Naam Ka Rang॥


Jaise Roothe Baalak Ki, Sunti Aap Pukaar।
Mujhko Bhi Woh Pyaar Do, Mat Karna Inkaar॥


Navratron Ki Maa, Kripa Kar Do Maa।
Navratron Ki Maa, Kripa Kar Do Maa॥


Jai Maa Skanda Mata।
Jai Maa Skanda Mata॥

Popular Maa Skandamata Temples

Maa Skandamata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Bhajan — Monday