Brihaspati Chalisa

Brihaspati Chalisa

00:0000:00
|| Doha || Gaau Nit Mangalacharan, Ganpati Mere Nath। Karo Kripa Maa Sharada, Jeev Rahen Mere Sath॥ || Chaupai || Veer Dev Bhaktan Hitkari। Sur Nar Munijan Ke Uddhari॥ Vachaspati Sur Guru Purohit। Kamalasan Brihaspati Virajit॥ Swarn Dand Var Mudra Dhari। Patra Maal Shobhit Bhuj Chari॥ Hai Swarnim Aawas Tumhara। Peet Vadan Devon Mein Nyara॥ Swarnarth Prabhu Ati Hi Sukhkar। Pandur Varn Ashv Chale Jutkar॥ Swarn Mukut Peetambar Dhari। Angira Nandan Gagan Vihari॥ Aj Agamya Avinashi Swami। Anant Varishth Sarvagya Nami॥ Shrimat Dharm Roop Dhan Data। Sharanagat Sarvapad Trata॥ Pushya Nath Brahm Vidya Visharad। Gun Barne Sur Gan Muni Narad॥ Kathin Tap Prabhas Mein Kinha। Shankar Prasann Ho Var Dinha॥ Dev Guru Grah Pati Kahao। Nirmal Mati Vachaspati Pao॥ Asur Bane Sur Yagya Vinashak। Karen Surakshit Mantra Se Sur Makh॥ Bankar Devon Ke Upkari। Daitya Vinashe Vighn Nivari॥ Brihaspati Dhanu Meen Ke Nayak। Lok Dwij Nay Buddhi Pradayak॥ Mavas Veer Vaar Vrat Dhare। Ashray Den Sarv Paap Nivaren॥ Peetambar Haldi Peela Ann। Shakkar Madhu Pukhraj Bhoo-Lavan॥ Pustak Swarn Ashv Daan Kar। Dedeven Jeev Anek Sukhad Var॥ Vidya Sindhu Swayam Kahlate। Bhakton Ko Sanmarg Chalate॥ Indra Kiya Apmaan Akaran। Vishwaroopa Guru Kiye Dharan॥ Badha Kasht Sab Raj Ganvaya। Danav Dhwaj Swarg Laharaya॥ Kshama Maang Phir Stuti Kinhi। Vipda Sakal Jeev Har Linhi॥ Badha Devon Mein Maan Tumhara। Kirati Gaaven Sakal Sansara॥ Dosh Bisar Sharan Mein Lijai। Ur Anand Prabhu Bhar Dijai॥ Sadguru Teri Prabal Maya। Tera Para Na Koi Paya॥ Sab Teerth Guru Charan Samaye। Samjhe Virla Bahu Sukh Paye॥ Amrit Varid Sadrish Vani। Hirday Dhar Bhae Brahmagyani॥ Shobha Mukh Se Barni Na Jayi। Deve Bhakti Jeev Manchahi॥ Jo Anath Na Koi Sahai। Lakh Chaurasi Paar Karahin॥ Pratham Guru Ka Poojan Kije। Guru Charanamrit Ruch-Ruch Pije॥ Mrig Trishna Guru Darshan Rakhi। Mile Mukti Ho Sab Jag Sakhi॥ Charanan Raj Satguru Sir Dhare। Pa Gaye Das Padarath Sare॥ Jag Ke Kar Viharan Dode। Guru Moh Ke Bandhan Tode॥ Paras Manik Neelam Ratna। Guruvar Sammukh Vyarth Kalpana॥ Kar Nishkam Bhakti Guruvar Ki। Sundar Chhavi Dhare Sukhkar Ki॥ Guru Pataka Jo Faharaye। Man Kram Vachan Dhyan Se Dhyaye॥ Kaal Roop Yam Nahin Sataven। Nishchay Guruvar Pind Chhudaven॥ Bhoot Pishach Nikat Na Aaven। Rogi Rog Mukt Ho Javen॥ Santati Heen Sanstuti Gaven। Mangal Hoy Putra Dhan Paven॥ “Manu” Gun Gaah Hirday Harshave। Sneh Jeev Charanon Mein Lave॥ Jeev Chalisa Padhe Padhave। Poorn Shanti Ko Pal Mein Pave॥ || Doha || Maat Pita Ke Sang Manu, Guru Charan Mein Leen। Kirpa Sab Par Kijiye, Jaan Jagat Mein Deen॥
About Brihaspati Ji
Category:
God
Gender:
Male
Day:
Thursday
Weapons:
Spear
Vahan:
Elephant
Favorite food:
Laddoo
Favorite color:
Yellow
Suggested Seva:
Donate Lamp in Temple

Popular Brihaspati Ji Temples

Brihaspati Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday

Related Aarti

No related aartis found.