Mata Chintpurni Chalisa

Mata Chintpurni Chalisa

00:0000:00
॥ Doha ॥ Chitt Mein Baso Chintpurni, Chhinnamastika Maat। Saat Bahnon Mein Laadli, Ho Jag Mein Vikhyaat॥ Maidaas Par Ki Kripa, Roop Dikhaaya Shyaam। Sabki Ho Varadaayini, Shakti Tumhein Pranaam॥ ॥ Chaupai ॥ Chhinnamastika Maat Bhavaani, Kalikāl Mein Shubh Kalyaani। Sati Aapko Ansh Diyo Hai, Chintpurni Naam Kiyo Hai॥ Charanon Ki Leela Hai Nyaari, Jinko Pooje Har Nar-Naari। Devi-Devta Hain Nat Mastak, Chain Na Paaye Bhaje Na Jab Tak॥ Shaant Roop Sada Muskaata, Jise Dekhkar Anand Aata। Ek Or Kaleshwar Saaje, Dooji Or Shivbaadi Viraaje॥ Teesri Or Narayan Dev, Chauthi Or Machkund Mahadev। Lakshmi Narayan Sang Viraaje, Das Avataar Unhin Mein Saaje॥ Teeno Dwaar Bhavan Ke Andar, Baithe Brahma Vishnu Aur Shivshankar। Kaali Lakshmi Saraswati Maa, Sat Raj Tam Se Vyaapt Hui Maa॥ Hanuman Yoddha Balkaari, Maar Rahe Bhairav Kilkaari। Chaunsath Yogini Mangal Gaaven, Mridang Chhaine Mahant Bajaaven॥ Bhavan Ke Neeche Baavdi Sundar, Jismein Jal Bahta Hai Jharjhar। Sant Aarti Karen Tumhaari, Tumne Sada Poojat Hain Nar-Naari॥ Paas Hai Jiske Baag Niraala, Jahaan Hai Pushpon Ki Vanmaala॥ Kanth Aapke Maala Viraaje, Suhaa-Suhaa Chola Ang Saaje। Sinh Yahaan Sandhya Ko Aata, Shubh Charanon Mein Sheesh Navaata॥ Nikat Aapke Jo Bhi Aave, Pindi Roop Darshan Paave। Ranjit Singh Maharaj Banaaya, Tumhein Swarn Ka Chhatra Chadhaaya॥ Bhaav Tumhin Se Bhakti Paaya, Patiala Mandir Banvaaya। Maidaas Par Kripa Karke, Aayi Bharvai Paas Vichar Ke॥ Athoor Kshetra Muglon Ne Ghera, Pita Maidaas Ne Tera। Amb Kshetra Ke Paas Mein Aaye, Teen Putra Kripa Se Paaye॥ Vansh Maai Ne Phir Pujvaaya, Maidaas Ko Bhakt Banaaya। Sau Ghar Uske Hain Apnaaye, Seva Mein Jo Tumri Aaye॥ Chaar Aarti Hain Mangalmay, Praatah Madhya Sandhya Raatmay। Paan Dhwaja Naariyal Laaun, Halwe Chane Ka Bhog Lagaaun॥ Asauj Chaitra Mein Mela Lagta, Ashtami Saavan Mein Bhi Bharta। Chhatra Va Chunni Sheesh Chadhaaun, Maala Lekar Tumko Dhyaaun॥ Mujhko Maat Vipad Ne Ghera, Mohmaaya Ne Daala Phera। Jwaalamukhi Se Tej Ho Paateen, Nagarkot Se Bhi Bal Paateen॥ Nayna Devi Tumhein Dekhkar, Muskaati Hain Prem Mein Bharkar॥ Abhilaasha Maa Pooran Kar Do, He Chintpurni Jholi Bhar Do। Mata Vaali Palak Dikha Do, Kaam Krodh Mad Lobh Hata Do॥ Sukh Dukh To Jeevan Mein Aate, Teri Daya Se Dukh Mit Jaate। Tumko Kehte Chinta Harni, Bhayanashak Tum Ho Bhayharni॥ Har Baadha Ko Aap Hi Taalo, Is Baalak Ko Gale Laga Lo। Tumhara Aashirvaad Mile Jab, Sukh Ki Kaliyan Aap Khile Sab॥ Kahaan Tak Durge Mahima Gaaun, Dwaar Khada Hi Vinay Sunaun। Chintpurni Maa Mujhe Apnaao, Bhav Se Naiya Paar Lagao॥ ॥ Doha ॥ Charan Aapke Chhoo Raha Hoon, Chintpurni Maat। Charanaamrit De Deejiye, Ho Jag Mein Vikhyaat॥
About Chintpurni Mata Ji
Alternate Names:
Chamundi
Category:
Devi
Gender:
Female
Avatar of:
Day:
Tuesday
Tithi:
Ashtami
Weapons:
Trishul
Vahan:
Lion
Favorite food:
Fruits, Puri, Kheer, Halwa
Favorite color:
Red, Yellow
Suggested Seva:
Donate Lamp in Temple, Feed the Needy
See All Detail

Popular Chintpurni Mata Ji Temples

Chintpurni Mata Ji — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Chalisa — Thursday
Mata Chintpurni Chalisa | Mobile Mandir