
Shakumbhari Mata Chalisa
00:0000:00
|| Doha ||
Dahine Bhima Bhramari Apni Chhavi Dikhaye।
Baayin Aur Satakshi Netron Ko Chain Dilaye॥
Bhoor Dev Maharani Ke Sevak Pahredar।
Maa Shakumbhari Devi Ki Jaag Mein Jai Jai Kar॥
|| Chaupai ||
Jai Jai Shri Shakumbhari Mata। Har Koi Tumko Sheesh Navata॥
Ganpati Sada Paas Mein Rahte। Vighan Aur Badha Har Lete॥
Hanuman Paas Balsali। Aagya Tumri Kabhi Na Taali॥
Muni Vyas Ne Kahi Kahani। Devi Bhagwat Katha Bakhani॥
Chhavi Aapki Badi Nirali। Badha Apne Par Le Daali॥
Akhiyon Mein Aa Jata Pani। Aisi Kripa Kari Bhavani॥
Ruru Daitya Ne Dhyan Lagaya। Var Mein Sundar Putra Tha Paya॥
Durgam Naam Pada Tha Uska। Achha Karm Nahin Tha Jiska॥
Bachpan Se Tha Vo Abhimani। Karta Rahta Tha Manmani॥
Yauvan Ki Jab Pai Avastha। Saari Todi Dharma Vyavastha॥
Socha Ek Din Ved Chhupa Loon। Har Brahmand Ko Das Bana Loon॥
Devi-Devta Ghabraayenge। Meri Sharan Mein Hi Aayenge॥
Vishnu Shiv Ko Chhoda Usne। Brahmaji Ko Dhyaya Usne॥
Bhojan Chhoda Phal Na Khaya। Vayu Peekar Anand Paya॥
Jab Brahma Ka Darshan Paya। Sant Bhav Ho Vachan Sunaya॥
Charo Ved Bhakti Mein Chahun। Mahima Mein Jinki Phailaun॥
Tab Brahma Var De Dala। Charon Ved Ko Usne Sambhala॥
Pai Usne Amar Nishani। Hua Prasann Paakar Abhimani॥
Jaise Hi Var Paakar Aaya। Apna Asli Roop Dikhaya॥
Dharm Dhwaja Ko Laga Mitane। Apni Shakti Laga Badhane॥
Bina Ved Rishi Muni The Dole। Prithvi Khane Lagi Hichkole॥
Ambar Ne Barsaye Shole। Sab Trahi-Trahi The Bole॥
Sagar Nadi Ka Sookha Pani। Kala Dal-Dal Kahe Kahani॥
Patte Bhi Jhadkar Girte The। Pashu Aur Pakshi Marte The॥
Suraj Tapta Jalti Jaye। Peene Ka Jal Koi Na Paye॥
Chanda Ne Sheetalta Chhodi। Samay Ne Bhi Maryada Todi॥
Sabhi Dishayein Thi Matwali। Bikhar Gayi Pooja Ki Thaali॥
Bina Ved Sab Brahmand Roye। Durbal Nirdhan Dukh Mein Khoye॥
Bina Granth Ke Kaise Poojan। Tadap Raha Tha Sabka Man॥
Dukhi Devta Dhyan Lagaya। Vinti Sun Pragati Mahamaya॥
Maa Ne Adbhut Darsh Dikhaya। Sab Netron Se Jal Barsaya॥
Har Ang Se Jharna Bahaya। Satakshi Shubh Naam Dharaya॥
Ek Haath Mein Ann Bhara Tha। Phal Bhi Dooje Haath Dhara Tha॥
Teesre Haath Mein Teer Dhar Liya। Chauthe Haath Mein Dhanush Kar Liya॥
Durgam Rakshas Ko Phir Mara। Is Bhoomi Ka Bhar Utara॥
Nadiyon Ko Kar Diya Samandar। Lage Phool-Phal Baag Ke Andar॥
Hare-Bhare Khet Lahraye। Ved Shastra Saare Lautaye॥
Mandiron Mein Goonji Shankh Vaadi। Harshit Hue Muni Jan Saare॥
Ann-Dhan Saag Ko Dene Wali। Shakumbhari Devi Balsali॥
Nau Din Khadi Rahi Maharani। Saharanpur Jangal Mein Nishani॥
About Shakumbhari Mata Ji
Name:
Category:
Devi
Gender:
Female
Day:
Friday
Weapons:
Bow and arrows, Trishul
Vahan:
Lion
Favorite food:
Halwa, Fruits, Kheer
Favorite color:
Red, Green, Yellow
Suggested Seva:
Feed the Needy
Popular Shakumbhari Mata Ji Temples
Shakumbhari Mata Ji — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Chalisa — Thursday