Shakambari Devi Katha
00:0000:00
Maa Shakambhari Devi Durga ke avataron mein ek hain. Durga ke sabhi avataron mein se Maa Raktadantika, Bhima, Bhramari, Shatakshi tatha Shakambhari prasiddh hain. Navratri mein inki katha ka paath avashya karna chahiye. Maa Shakambhari ki pauranik granthon mein varnit katha ke anusar, ek samay jab Prithvi par Durgam naamak daitya ne atank ka mahaul paida kiya. Is tarah kareeb sau varsh tak varsha na hone ke karan ann-jal ke abhav mein bhayankar sookha pada, jisse log mar rahe the. Jeevan khatm ho raha tha. Us daitya ne Brahmaji se chaaron Ved chura liye the. Tab Adishakti Maa Durga ka roop Maa Shakambhari Devi mein avtarit hui, jinke sau netra the. Unhone rona shuru kiya, rone par aansu nikle aur is tarah poori dharti mein jal ka pravah ho gaya. Ant mein Maa Shakambhari Durgam daitya ka ant kar diya. Ek anya katha ke anusar Shakumbhara (Shakambhari) Devi ne 100 varshon tak tap kiya tha aur mahine ke ant mein ek baar shakahari bhojan kar tap kiya tha. Aisi nirjeev jagah jahan par 100 varsh tak pani bhi nahin tha, wahan par ped-paudhe utpann ho gaye. Yahan par sadhu-sant Mata ka chamatkar dekhne ke liye aaye aur unhen shakahari bhojan diya gaya. Iska tatparya yeh tha ki Mata keval shakahari bhojan ka bhog grahan karti hain aur is ghatna ke baad se Mata ka naam 'Shakambhari Mata' pada.
About Shakumbhari Mata
Name:
Category:
Devi
Gender:
Female
Day:
Friday
Weapons:
Bow and arrows, Trishul
Vahan:
Lion
Favorite food:
Halwa, Fruits, Kheer
Favorite color:
Red, Green, Yellow
Suggested Seva:
Feed the Needy
Get the complete experience on the
Mobile Mandir App
Download Shakambari Devi Katha PDF

Popular Shakumbhari Mata Temples
Shakumbhari Mata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Katha — Wednesday