Mata Baglamukhi Katha
00:0000:00
Ek baar Satyug mein ek mahavinash utpann karne wala brahmandiya toofan utpann hua, jisse sampoorn vishva nasht hone laga. Isse chaaron or hahakar mach gaya. Sansaar ki raksha karna asambhav ho gaya. Yeh toofan sab kuch nasht-bhrasht karta hua aage badhta ja raha tha, jise dekh kar Bhagwan Vishnu ji chintit ho gaye.
Is samasya ka koi hal na pa kar woh Bhagwan Shiv ko smaran karne lage, tab Bhagwan Shiv ne kaha: Shakti roop ke atirikt anya koi is vinash ko rok nahi sakta, atah aap unki sharan mein jayein.
Tab Bhagwan Vishnu ne Haridra Sarovar ke nikat pahunch kar kathor tapasya ki. Devi Shakti ke tapas se Mahatripurasundari prasann huyi. Saurashtra kshetra ki Haridra jheel mein jal-kreeda karti Mahapeetambara swaroop Devi ke hriday se divya tej utpann hua. Is tej se brahmandiya toofan tham gaya.
Mangal-yukt Chaturdashi ki ardharatri mein Devi Baglamukhi ka pradurbhav hua. Tralokya Stambhini Mahavidya Devi Baglamukhi ne prasann hokar Bhagwan Vishnu ko ichchhit var diya aur tab srishti ka vinash ruk saka. Devi Baglamukhi ko Veer Rati bhi kaha jata hai kyunki Devi swayam Brahmastra roopini hain. Unke Shiv ko Maharudra kaha jata hai. Isiliye Devi siddh vidya hain. Tantrik inhe stambhan ki devi maante hain. Grihasthon ke liye Devi samast prakaar ke sanshayo ka shaman karne wali hain.
Das Mahavidyaon mein se Das Mahavidya ki aathvi Mahavidya Devi Baglamukhi hain. Inki upasana inke bhakt shatru nash, vaak siddhi aur vaad-vivaad mein vijay ke liye karte hain. Inmein saare brahm shakti ka samavesh hai. Inki upasana se bhakt ke jeevan ki har badha door hoti hai aur shatruon ka nash hota hai, saath hi buri shaktiyon ka bhi vinash hota hai. Devi ko Baglamukhi, Peetambara, Bagla, Valgamukhi, Vagalarmukhi, Brahmastra Vidya aadi naamon se bhi jana jata hai.

About Bagalamukhi Mata
Name:
Alternate Names:
Pitambara
Category:
Devi
Gender:
Female
Avatar of:
Day:
Thursday
Weapons:
Gada
Vahan:
Lion
Favorite food:
Sweets
Favorite color:
Yellow
Get the complete experience on the
Mobile Mandir App
Download Mata Baglamukhi Katha PDF
Lyrics image unavailable
Popular Bagalamukhi Mata Temples
Bagalamukhi Mata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Katha — Friday