Baba Balak Nath Stuti
00:0000:00
Guru charanon mein sheesh dhar,
Karun pratham pranaam,
Baksho mujhko bahubal,
Seva karun nishkaam.
Rom-rom mein ram raha,
Roop tumhaara naath,
Door karo avagun mere,
Pakdo mera haath.
Balak Nath gyaan ke,
Tum to ho bhandaar,
Din-raat japu main sada,
Tumhaara hi naam apaar.
Ajar-amar avinaashi tum,
Paavan hai tera dhaam,
Siddh jogi Balak Nath,
Poorn karo sab kaam.
Sheesh mukut kaanon mein kundal,
Sohe gale mein phool maala,
Tej tumhaara dekh ke,
Thar-thar kaanpe andhera aur ujaala.
Uttar disha mein dera tera,
Dev siddh ki shaan,
Jo bhi dhyaave man se tumko,
Hove uska kalyaan.
Karun pratham pranaam,
Baksho mujhko bahubal,
Seva karun nishkaam.
Rom-rom mein ram raha,
Roop tumhaara naath,
Door karo avagun mere,
Pakdo mera haath.
Balak Nath gyaan ke,
Tum to ho bhandaar,
Din-raat japu main sada,
Tumhaara hi naam apaar.
Ajar-amar avinaashi tum,
Paavan hai tera dhaam,
Siddh jogi Balak Nath,
Poorn karo sab kaam.
Sheesh mukut kaanon mein kundal,
Sohe gale mein phool maala,
Tej tumhaara dekh ke,
Thar-thar kaanpe andhera aur ujaala.
Uttar disha mein dera tera,
Dev siddh ki shaan,
Jo bhi dhyaave man se tumko,
Hove uska kalyaan.