Maa Mahagauri Aarti
00:0000:00
Jai Mahagauri Jagat Ki Maya
Jaya Uma Bhavani Jai Mahamaya॥
Haridwar Kankhal Ke Paasa
Mahagauri Tera Wahan Nivasa॥
Chandrakali Aur Mamta Ambe
Jai Shakti Jai Jai Maa Jagdambe॥
Bhima Devi Vimala Mata
Kaushiki Devi Jag Vikhyata॥
Himachal Ke Ghar Gauri Roop Tera
Mahakali Durga Hai Swaroop Tera॥
Sati ‘Sat’ Havan Kund Mein Tha Jalaya
. Usi Dhuen Ne Roop Kali Banaya॥
Bana Dharm Singh Jo Sawari Mein Aaya
To Shankar Ne Trishul Apna Dikhaya॥
Tabhi Maa Ne Mahagauri Naam Paya
Sharan Aane Wale Ka Sankat Mitaya॥
Shanivar Ko Teri Puja Jo Karta
Maa Bigda Hua Kaam Uska Sudharta॥
Bhakt Bolo To Soch Tum Kya Rahe Ho
Jai Mahagauri Jagat Ki Maya॥
Popular Maa Mahagauri Temples
Maa Mahagauri — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Aarti — Monday