Maa Mahagauri Katha

Maa Mahagauri Katha

00:0000:00

Mahagauri Ki Vrat Katha

Durga Ashtami Vrat Katha Ke Anusaar, Devi Sati Ne Parvati Roop Mein Bhagwan Shiv Ko Pati Roop Mein Praapt Karne Ke Liye Kathor Tapasya Ki Thi. Ek Baar Bhagwan Bholenath Ne Parvati Ji Ko Dekhkar Kuchh Keh Diya, Jisse Devi Ka Mann Aahat Ho Gaya Aur Parvati Ji Tapasya Mein Leen Ho Gayi. Is Prakaar Varshon Tak Kathor Tapasya Karne Ke Baad Jab Parvati Nahin Aayin, To Unhein Khojte Hue Bhagwan Shiv Unke Paas Pahunche.Wahan Pahunchkar Maa Parvati Ko Dekhkar Bhagwan Shiv Aashcharyachakit Rah Gaye. Parvati Ji Ka Rang Atyant Ojasvi Tha. Unki Chhata Chaandni Ke Samaan Shwet Aur Kund Ke Phool Ke Samaan Dhaval Dikhai Pad Rahi Thi. Unke Vastr Aur Aabhushan Se Prasann Hokar Bhagwan Shiv Ne Devi Uma Ko Gaur Varn Ka Vardaan Diya.


Doosri Katha

Doosri Katha Ke Anusaar, Bhagwan Shiv Ko Pati Ke Roop Mein Paane Ke Liye Devi Ne Kathor Tapasya Ki Thi, Jisse Unka Shareer Kaala Pad Gaya. Devi Ki Tapasya Se Prasann Hokar Bhagwan Shiv Unhein Sweekar Kar Lete Hain Aur Shiv Ji Unke Shareer Ko Gangajal Se Dhote Hain. Tab Devi Atyant Gaur Varn Ki Ho Jaati Hain Aur Tabhi Se Inka Naam Gauri Pada.Mahagauri Roop Mein Devi Karunamay, Snehamay, Shaant Aur Mridul Dikhti Hain. Devi Ke Is Roop Ki Prarthana Karte Hue Dev Aur Rishigan Kehte Hain:

“Sarva Mangal Mangalye, Shive Sarvaartha Saadhike, Sharanye Tryambake Gauri, Narayani Namostute.”


Teesri Katha


Ek Katha Yeh Bhi Prachalit Hai Ki Ek Singh Kaafi Bhookha Tha. Jab Woh Bhojan Ki Talaash Mein Wahan Pahuncha, Jahaan Devi Uma Tapasya Kar Rahi Thi, To Devi Ko Dekhkar Singh Ki Bhookh Aur Badh Gayi. Parantu Woh Devi Ki Tapasya Se Uthne Ka Intezaar Karte Hue Wahin Baith Gaya.

Is Intezaar Mein Woh Kaafi Kamzor Ho Gaya. Devi Jab Tap Se Uthin, To Singh Ki Dasha Dekhkar Unhein Us Par Daya Aa Gayi Aur Maa Ne Use Apni Sawaari Bana Liya, Kyunki Is Prakaar Usne Bhi Tapasya Ki Thi. Isliye Devi Gauri Ka Vaahan Bail Bhi Hai Aur Singh Bhi Hai.

Popular Maa Mahagauri Temples

Maa Mahagauri — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Maa Mahagauri Stuti
Maa Mahagauri Stuti
MMA TeamSTUTI
Maa Mahagauri Mantra
Maa Mahagauri Mantra
MMA TeamMANTRA
Maa Mahagauri Chalisa
Maa Mahagauri Chalisa
MMA TeamCHALISA
Maa Mahagauri Bhajan
Maa Mahagauri Bhajan
MMA TeamBHAJAN
Maa Mahagauri Aarti
Maa Mahagauri Aarti
MMA TeamAARTI
Next Day's Katha — Monday