Maa Saraswati Aarti

Maa Saraswati Aarti

00:0000:00
Jay Saraswati Mata,
Maiya Jay Saraswati Mata।
Sadgun Vaibhav Shalini,
Tribhuvan Vikhyata॥
॥ Jay Saraswati Mata...॥

Chandravadani Padmasini,
Dyuti Mangalkari।
Sohe Shubh Hans Sawari,
Atul Tejdhari॥
॥ Jay Saraswati Mata...॥

Bayen Kar Mein Veena,
Dayen Kar Mala।
Sheesh Mukut Mani Sohe,
Gal Motiyan Mala॥
॥ Jay Saraswati Mata...॥

Devi Sharan Jo Aaye,
Unaka Uddhar Kiya।
Paithi Manthara Dasi,
Ravan Sanhar Kiya॥
॥ Jay Saraswati Mata...॥

Vidya Gyan Pradayini,
Gyan Prakash Bharo।
Moh Agyan Aur Timir Ka,
Jag Se Naash Karo॥
॥ Jay Saraswati Mata...॥

Dhoop Deep Phal Meva,
Maa Svikar Karo।
Gyanchakshu De Mata,
Jag Nistar Karo॥
॥ Jay Saraswati Mata...॥

Maa Saraswati Ki Arati,
Jo Koi Jan Gave।
Hitakari Sukhakari,
Gyan Bhakti Pave॥
॥ Jay Saraswati Mata...॥

Jay Saraswati Mata,
Maiya Jay Saraswati Mata।
Sadgun Vaibhav Shalini,
Tribhuvan Vikhyata॥

Popular Saraswati Mata Temples

Saraswati Mata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Aarti — Friday