Maa Saraswati Bhajan

Maa Saraswati Bhajan

00:0000:00
He Saraswati Maa Gyan Ki Devi Kripa Karo,
Dekar Vardan He Maat Mera Agyaan Haro।
Karunamayi Hai Tu Vardani, Kamal Tere Kar Saaje Hai,
Anand Mangal Kar Deti Hai Jis Ghar Maat Viraje Hai।
Gyan Se Tere Saraswati Maa Andhiyaron Ka Naash Hua,
Samriddhi Aayi Us Ghar Maa Jis Ghar Tera Vaas Hua।
Apni Mahima Se Ghar Mera Khushiyon Se Bharo,
Dekar Vardan He Maat Mera Agyaan Haro॥

Saat Suron Ki Devi Ho Tum, Saat Suron Mein Vaas Tera,
Sargam Se Goonje Ye Dharti, Sargam Se Aakash Tera।
Teri Kripa Se Saraswati Maa Mangal Sab Ho Jaata Hai,
Jiske Kanth Viraje Mata Bigda Bhagya Ban Jaata Hai।
Mere Bhi Saare Kaaj Maat Tum Pooran Karo,
Dekar Vardan He Maat Mera Agyaan Haro॥

Veena Dharani, Vipda Harani, Kitni Paavan Ho Mata,
Dev Rishi Tumhe Naman Kare Maa, Darshan Tera Man Bhaata।
Guni Janon Ki Ho Hitkari, Sab Ko Sharan Lagati Ho,
Jiski Vaani Mein Bas Jao, Mala Maal Banati Ho।
Hum Deen Heen Pe Maat Meri Tum Dhyan Dharo,
Dekar Vardan He Maat Mera Agyaan Haro॥

Popular Saraswati Mata Temples

Saraswati Mata — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Bhajan — Friday