Shri Vishwakarma Aarti

Shri Vishwakarma Aarti

00:0000:00

!! Shri Vishwakarma Aarti !!


Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।

Sakal Srishti Ke Karta

Rakshak Stuti Dharma। |

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।


Aadi Srishti Mein Vidhi Ko

Shruti Updesh Diya।

Jeev Maatra Ka Jag Mein

Gyaan Vikaas Kiya।।

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।


Rishi Angira Ne Tap Se

Shaanti Nahin Paayi।

Dhyaan Kiya Jab Prabhu Ka

Sakal Siddh Aayi।।

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।


Rog Grast Raja Ne Jab

Aashray Leena।

Sankat Mochan Ban Kar Door Dukh Keena।।

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।


Jab Rathkaar Dampati

Tumhari Ter Kari।

Sunkar Deen Prarthana

Vipatti Hari Sagari।।

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।


Ekaanan Chaturaanan

Panchaanan Raaje।

Dvibhuj

Chaturbhuj

Dashbhuj

Sakal Roop Saaje।।

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।


Dhyaan Dhare Jab Pad Ka

Sakal Siddhi Aave।

Man Duvidha Mit Jaaye

Atal Shaanti Paave।।

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।


Shri Vishwakarma Ji Ki Aarti Jo Koi Jan Gaave।

Kahat Gajaanand Swami

Sukh Sampatti Paave।।

Om Jai Shri Vishwakarma

Prabhu Jai Shri Vishwakarma।

Popular Shri Vishwakarma Temples

Shri Vishwakarma — Aarti, Chalisa, Mantra & more
Next Day's Aarti — Tuesday