Bhairav Chalisa

Bhairav Chalisa

00:0000:00
|| Doha || Shri Ganpati, Guru Gauri Pad, Prem Sahit Dhari Math । Chalisa Vandan Karon, Shri Shiv Bhairavnath ॥ Shri Bhairav Sankat Haran, Mangal Karan Kripal । Shyam Varan Vikral Vapu, Lochan Lal Vishal ॥ || Chaupai || Jai Jai Shri Kali Ke Lala । Jayati Jayati Kashi-Kutwala ॥ Jayati Batuk Bhairav Jai Hari । Jayati Kaal Bhairav Balkari ॥ Jayati Sarv Bhairav Vikhyata । Jayati Nath Bhairav Sukhdata ॥ Bhairav Roop Kiyo Shiv Dharan । Bhav Ke Bhar Utaran Karan ॥ Bhairav Rav Sun Hai Bhay Doori । Sab Vidhi Hoy Kamna Poori ॥ Shesh Mahesh Aadi Gun Gayo । Kashi-Kotwal Kahlayo ॥ Jatajoot Sir Chandra Virajat । Bala, Mukut, Bijayath Sajat ॥ Kati Kardhani Ghungroo Bajat । Darshan Karat Sakal Bhay Bhajat ॥ Jeevan Daan Das Ko Dinho । Kinho Kripa Nath Tab Chinho ॥ Vasi Rasna Bani Sarad-Kali । Dinho Var Rakhyo Mam Lali ॥ Dhanya Dhanya Bhairav Bhay Bhanjan । Jai Manranjan Khal Dal Bhanjan ॥ Kar Trishul Damru Shuchi Koda । Kripa Kataksh Suyash Nahin Thoda ॥ Jo Bhairav Nirbhay Gun Gavat । Ashtsiddhi Navnidhi Phal Pavat ॥ Roop Vishal Kathin Dukh Mochan । Krodh Karal Lal Duhun Lochan ॥ Aganit Bhoot Pret Sang Dolat । Bam Bam Bam Shiv Bam Bam Bolat ॥ Rudrakay Kali Ke Lala । Maha Kalahu Ke Ho Kala ॥ Batuk Nath Ho Kaal Gambheera । Shwet, Rakt Aru Shyam Sharira ॥ Karat Teenhu Roop Prakasha । Bharat Subhaktan Kahan Shubh Aasha ॥ Ratna Jadit Kanchan Sinhasan । Vyaghra Charm Shuchi Narm Suanan ॥ Tumahi Jai Kashihin Jan Dhyavahin । Vishwanath Kahan Darshan Pavahin ॥ Jai Prabhu Sanharak Sunand Jai । Jai Unnat Har Umanand Jai ॥ Bhim Trilokan Swan Sath Jai । Baijnath Shri Jagatnath Jai ॥ Mahabhim Bhishan Sharir Jai । Rudra Tryambak Dheer Veer Jai ॥ Ashwanath Jai Pretnath Jai । Shwanarudh Sayachandra Nath Jai ॥ Nimish Digambar Chakranath Jai । Gahat Anathan Nath Hath Jai ॥ Treshlesh Bhutesh Chandra Jai । Krodh Vats Amaresh Nand Jai ॥ Shri Vaman Nakulesh Chand Jai । Krityau Kirati Prachand Jai ॥ Rudra Batuk Krodhesh Kaal Dhar । Chakra Tund Dash Paanivyal Dhar ॥ Kari Mad Paan Shambhu Gun Gavat । Chaunsath Yogin Sang Nachavat ॥ Karat Kripa Jan Par Bahu Dhanga । Kashi Kotwal Adbanga ॥ Deyam Kaal Bhairav Jab Sota । Nasai Paap Mota Se Mota ॥ Jakar Nirmal Hoy Sharira । Mitai Sakal Sankat Bhav Peera ॥ Shri Bhairav Bhooton Ke Raja । Badha Harat Karat Shubh Kaja ॥ Ailadi Ke Dukh Nivaryo । Sada Kripa Kari Kaj Samharyo ॥ Sundardas Sahit Anuraga । Shri Durvasa Nikat Prayaga ॥ Shri Bhairav Ji Ki Jai Lekhyo । Sakal Kamna Pooran Dekhyo ॥ || Doha || Jai Jai Jai Bhairav Batuk, Swami Sankat Taar । Kripa Das Par Kijiye, Shankar Ke Avatar ॥ Jo Yah Chalisa Padhe, Prem Sahit Sat Baar । Us Ghar Sarvanand Hon, Vaibhav Bade Apar ॥
About Bhairav Ji
Alternate Names:
Kaal Bhairav, Rudra Bhairav, Bhairavnath
Category:
God
Gender:
Male
Avatar of:
Day:
Sunday, Tuesday
Weapons:
Trishul, Sword
Vahan:
Dog
Favorite food:
Alcohol, Meat, Sesame Seeds
Favorite color:
Black

Popular Bhairav Ji Temples

Bhairav Ji
Next Three Days — Saturday, Sunday, Monday

Related Aarti

No related aartis found.